Details and existence of "Correction waves" in forex trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details and existence of "Correction waves" in forex trading
    Dear friends, forex market waves ki surat main move karti hay, yeh waves market kay trend ki direction main move karti hain, kuch waves retracement aur correction ki taraf move karti hain, aisi waves jo market ki correction ya retracement ko show karti hain unhain correction waves kaha jata hay,


    Details of correction waves:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1828_39_3281.jpg
Views:	1
Size:	8.0 کلوبائٹ
ID:	12581567

    Impulse waves ki nisbat correction waves ko identify karna kafi difficult hota hay, in kay baray main aik important rule yeh hota hay kay correction waves kabi bhi five waves wala pattern nhi banati hain, Corrective waves ki Alteration aur equality two guide lines hoti hain, jab market retracement ki taraf move karti hay to aisi waves ko ham corrective waves kay name say jantay hain, trader ko market main corrective wave aur dominant wave kay darmian farak karnay main boht ziada knowledge ki zarurat hoti hay, jo trader in main confuse ho jatay hain woh apni trades ko properly manage nahi kar patay aur resultantly aisay trader ko loss bardasht karna parta hay,

    Existence of correction waves:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1828_39_1180.jpg
Views:	1
Size:	9.5 کلوبائٹ
ID:	12581568

    Correction waves four different patterns main exist karti hain jo yeh hain,

    1. Zigzag corrections

    2. Flat corrections

    3. Triangle corrections

    4. Combination corrections

    zigzag waves pattern prices main steep moves trend kay against hoti hain, yeh three main waves hoti hain aur lesser degree ki subordinate waves jo zigzag correction banati hain 5-3-5 wave count banati hain,

    Flat corrections simple side ways corrective waves hoti hain, in main aik wave kay reverse aur equal dusri wave create hoti hay, in main bhi three waves pattern hotay hain aur iski subordinate waves 3-3-5 wave count banati hain, in waves ki correction kafi weak hoti hay, iski further three sub categories hoti hain, jin main regular flat correction, expanded flat correction aur running flat corrections hoti hain.

    Triangle formation aisay corrective patterns hotay hain jo converging and diverging trend line main bound hotay hain, yeh ascending, descending aur symmetric hotay hain, in main five waves hoti hain aur in ki subordinates 3-3-3-3-3 wave count show karti hain, bears aur bulls kay darmian forces kay momentum balance ko reflect karti hain, aik ideal triangle correction ma successive waves previous waves ki retracements say 100% short par fall karti hain,

    Combination corrections normaly horizontal waves corrections hoti hain aur yeh bhi three waves correction ko combine kar kay banati hain,

    Features of correction waves in trading:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1828_39_4983.jpg
Views:	1
Size:	19.0 کلوبائٹ
ID:	12581569

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1828_39_4142.jpg
Views:	1
Size:	4.0 کلوبائٹ
ID:	12581570

    Corrective waves ka matlab yeh hota hai kay jab market main different moment ho rahi hoti hain aur market apnay trend main moment kartay huay jab bhi retracement karti hay to is situation main jo bhi waves create ho rahi hoti hain unko corrective waves kaha jata hay jab ham collective waves ki types ki discussion karta hain to market main mukhtalif shapes ki basis per apko different waves mil sakti hain jin ko ham different types Mein convert aur unko categorize kar saktay hain, kisi bhi pattern main waves ko observe karnay main yeh boht zaruri hay kay trader in kay difference ko properly define karay, agr woh aisa karnay main kamiab nhi hota to wo acha profit hasil karnay ma kamiab nhi ho pata

اب آن لائن

Working...
X