Discussion and applying process of "Bolly Band Bounce trading strategy" in forex trad
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discussion and applying process of "Bolly Band Bounce trading strategy" in forex trad
    Dear friends, Bolly Band Bounce strategy aik popular strategy hay jo is principle par base karti hay kay jab price outer band ki extreme par pohnch jati hain to phir woh mean ki taraf wapis aa jati hain, bolly band bounce aik achi trading strategy hay jis kay liay bollinger band indicator required hota hay, yeh strategy us waqt use ki jati hay jab market range bounded ho ya prices sideways move kar rahi hon,

    Amplification of Bolly Band Bounce trade strategy:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1540_57_4753.jpg
Views:	1
Size:	27.2 کلوبائٹ
ID:	12581546

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1540_57_3902.jpg
Views:	1
Size:	29.9 کلوبائٹ
ID:	12581547

    Jab price lower bollinger band par hoti hain to is strategy ko use kar kay buy ki trade open ki ja sakti hay aur jab market ki price upper bollinger band main hoti hay to is strategy ki help say sell ki trade open karnay main help milti hay, boht saray traders aisi situation ko trading kay liay acha nhi samajhtay laikin agr is situation main bolly band bounce kay zariay achi trading possible ho sakti hay, is strategy ko apply karnay kay liay hamain bollinger bands say achi tarah wakfiat honi chaiay, is main jab price do ya is say ziada bar resistance ko hit ho kay wapis aye to hamain ye confirm ho jata hay keh iska filhal ye he resistance level hay yahan per ham stop loss set kar ky sell kar sakty hain aur short support per take profit select kar sakty hain


    Support and resistance in bolly band bounce:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1540_57_2931.jpg
Views:	1
Size:	17.7 کلوبائٹ
ID:	12581548

    Is strategy main bollinger bands mazboot support aur resistance levels ki surat main act kartay hain, jahan say price kay bounce honay kay chances ziada hon, in main three bands hotay hain, jo upper, middle aur lower band hotay hain, middle band dusray dono bands ki base kay tor par act karta hay, in three bands kay darmian ki spacing volatility ki waja say hoti hay, bands ka ziada gap high volatility aur thora gap low volatility ko zahir karay ga, yeh overbought aur oversold levels ko maloom karnay kay liay boht useful hain, jab price lower band ko hit karay to buy ki trade ki jati ha aur jab upper band ko hit karay to sell ki trade open kartay hain,

    Trading technique with Bolly Band bounce:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230115_1540_57_1600.jpg
Views:	1
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12581549

    traders is main price action kay crossover ki expectation rakhtay hain, is main outer band entry aur exit point act karta hay, is tarah stop loss aur take profit ko thek moment kay mutabik kisi bhi waqt adjust kia ja sakta hay, yeh strategy us waqt best hoti hay jab market silent ho, yeh kisi bhi tarah kay technical anaylisis karnay kay liay use ki ja sakti hay, Bolly band bounce trading strategy main sirf bollinger band indicator ko helpful aur ideal samjha jata hay aur isi indicator ka hi use hota hay, jab market slow momentum main ho aur continuously arzi support and resistance ko hit ho kar wapis ja rahi ho to ham upper and lower band kay sath yahan say signal laity huay trading say earning kar saktay hain, strategy ki reliability hamain tab hi mil sakti hay jab market ka momentum slow ho, aur kisi major economic news kay announcement kay chances bhi na hon, jab kay ham price bounce kay sath entry point ka bhi thek intikhab karain

اب آن لائن

Working...
X