Volume Spread Analysis (VSA)
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Volume Spread Analysis (VSA)
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Volume Spread Analysis (VSA)



    Financial market me VSA (Volume Spread Analysis) trading se murad market me price ko demand aur supply se zahir karna hota hai. Market me technical base pe supply aur demand ki ratio k mutabiq jo trading ki jati hai wo market ki VSA (Volume Spread Analysis) hai. VSA (Volume Spread Analysis) forex trading me bohut ziada importance rakhti hai. Q k jab bhi market me demand ya supply increases hoti hai to market ki movement achhanak yak semat ho jati hai. Is se forex trading market me bohut ziada uchha a jati hai aur market ki price bohut volitile hoti hai. Jab bhi forex trading market me movement yak semat hoti hai to ye aksar forex trading me VSA (Volume Spread Analysis) ki waja se hi hoti hai.
    Forex trading market me ho ya financial market me ho jab bhi market me supply ziada ho jati hai to is se market ki movement bohut down semat chaln ashoro hoti hai. Market ki price ki ye movement bearish hoti hai. Aur is se market me demand kam hoti hai aur chart pattern jo banta hai wo trend down semat hota hai. Aur jab bhi market me demand ziada ho jati hai to is se market me supply pe asar hota hai agr supply kam na bhi ho to isbse market me price ki movement upward hoti hai, q k ziada demand se market me upward bohut zyada teezi ati hai jis se market me trend bullish ban jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (18).jpeg
Views:	2
Size:	32.4 کلوبائٹ
ID:	12581490

    Spoting VSA


    Volum spread analysis ki analysis karte waqt aap ko kayi iqdamaat karne ki zaroorat hai. sab se pehlay, aap ko yeh yakeeni banana hoga ke aap trading ke liye candlestick ka istemaal karna hoga, q k chart ki doosri aqsam jaisay line, bar, aur renko charts istemaal karne wale trader k leye ye achi terhan se kaam nahi karta hai.
    Dosra, aap ko yeh yakeeni banana hoga ke broker qabil aetmaad volum paish karta hai. Aakhir mein, aap ko chart ke timeframe par poori tawajah deeni chahiye. Small timeframes wale chart pattern jaise, one minute, five minutes, ya 15 minutes pe iss ka istemal karna ziada kamyab nahi rehta hai, iss waja se jitna ho sakta hai, long timeframes jaise D1, W1 ya monthly timeframes ka istemal karna chaheye, takeh nateejahez result hasil ho. Sab se last par aik tajweez ye hai, traders ko lazmi trend ko follow karte rehna chaheye jiss market ki asal soratehal ki akasi hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (16).jpeg
Views:	3
Size:	35.5 کلوبائٹ
ID:	12581491

    Explanation

    Volum ya hujam aik kisi bhi assets ki raqam hai, jo aik muqarara waqt mein trade ki ja rahi hoti hai. Misaal ke tor par, agar company Apple ke 10,000 shares aik makhsoos din mein buy aur sell jatay hain, to usay valum ya hajam kaha jata hai. Agar aglay din hajam 8,000 tak gir jata hai, to aap keh satke hain ke volum ya hajam kam ho gaya hai. Aik spread doosri taraf, do cheezon ke darmiyan faraq hai. Forex trading mein spread ki aik aam tareef bid aur ask ki qeemat ke darmiyan farq hai. Misal ke tor par, agar AUD/CAD ki bid 0.91420 hai aur ask 0.92426 hai to spread taqreeban 20 hai. spread ki bohat si misalein hain. misaal ke tor par, agar Brent oil ki qeemat $85 par trade kar rahi hai aur WTI $80 par trade kar rahi hai, to spread $5 ka hai. Volum ya hajam spread ka analysis ka aik analysis ka tareeqa hai, jo qeemat ki simat ka taayun karne ke liye candlesticks aur per candle ke valum ko daikhta hai. Yeh per candle volume ki miqdaar, range spread, aur ikhtitami qeemat ko daikhta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (17).jpeg
Views:	1
Size:	26.1 کلوبائٹ
ID:	12581492

    Basic Volume Spread Analysis principles

    Har market players ki taraf se peda kardah supply aur demand ki bunyaad par movement karti hai. Agar selling se ziyada buying ho to market oopar jati hai, lekin agar buying se ziyada selling hoti hai to market neechay jati hai. Amli tor par, financial markets ko parhna itna aasaan nahi hai, prices ki fast par ghhor karne ke liye kaafi maloomat bhi mojood hen, jiss ko aksar un-experienced ya new trader nazar andaaz kar dete hain. Oopar bayan kardah bunyadi usool durust hai, lekin dar haqeeqat financial markets mein supply aur demand mukhtalif tareeqay se kaam karti hai. market ko oopar ki taraf trend karne ke liye, wahan selling se ziyada buying honi chahiye.
    Ziyada tar trader is baat se poori terhan be khabar hen, k market main aksar buying ziada tar low volum par hota hai, market players ki taraf se yeh buying darasal aik chart par volum mein izafay ke sath bearish candlestick ke tor par zahir hoti hai. VSA batata hai ke market ki taaqat ko bearish candlestick mein dekhaya jata hai, aur is ke bar-aks, market ki kamzoree ko bullish candlestick mein dekhaya jata hai. Expert trader selling ke douran buying karte hen, jo aksar kharab economic news k elanaat ka nateeja hota hai. Aisi bad news awam ko selling ki targheeb deti hai ( taqreeban hamesha nuqsaan mein ), lehaza expert afraad ki taraf se buying downtrend ya neechay ki taraf candlestick par hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (41).png
Views:	12
Size:	9.9 کلوبائٹ
ID:	12581489

اب آن لائن

Working...
X