Forex "Pips" & "Its Calculation"

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex "Pips" & "Its Calculation"
    Assalamu Alaikum Dosto!



    PIPs


    PIP or “Percentage in Point” do currencies k darmeyan sharah e tabadela main qeemat ki sab se choti tabdeeli ki numayendaggi karti hai. "Bank of International Settlement" k mutabiq forex trading market main sab se ziadda trading hone wali currencies main American Dollar (USD), Euro (EUR), Japanese Yen (JPY) aur aik khas had tak British Pound (GBP) shamil hen.
    In currencies ka hawala (quoted) ishareya k baad fourth fourth decimal point par hai, jiss kamatlab hai k tabdeeli ki sab se choti ikaye ishareya k baad fourth number hai. Sirf Japanese Yen (JPY) ko chor kar baqqi sab par ye rule apply hotta hai. Japanese Yen (JPY) wali currencies pairs main ishareya k baad dosre number pips ki ikaye hotti hai.
    Forex trading market main currencies pairs ki up down harkat pios main hotti hai, iss waja se market main honne wale nafa aur nuqsan (profit and loss) ka hisab bhi pips main hi count kia jatta hai. Pips k mutaleq knowledge rakhna aur iss ki calculation bohut zarorri hai. Pips ko samajhne k leye darjazzel example par gjawar karen, k ye kese kaam kartta hai, ya bantta hai?

    Click image for larger version

Name:	images (4).jpeg
Views:	1
Size:	15.7 کلوبائٹ
ID:	12581253

    Example:
    Forex trading main currencies chonkeh pairs ki sorat main hotti hai, iss waja se jab bhi hum aik currency ko buy kartte hen, to automatically dosre currency ko sath main sell kar rahe hotte hen. Currency pairs main 1st currency ko Base Currency jab 2nd currency ko Quote Currency kaha jatta hai. Base currency k buy karnne se quote currency sell hotti hai, aur sell karnne par buy hotti hai. Ab atte hen apnni example ki tarraf;
    Aggar aik currency jore jaisa k EURUSD ki maojooda qeemat 1.1350 ho to iss ka matlab hai k one (1) EUR 1.1350 USD k barabar hai. Currency pair main base currency ki value hamesha 1 k barabar hoggi aur quote currency ki value maukhtalif hoggi, ye ziadda ya kam ho saktti hai.
    Jab aap EURUSD ko maojooda qeemat yanni 1.1350 par buy kartte ho, currency pair bullish harkat karta howa 1.1352 tak jatta hai, aur aap iss point par currency jore k trade ko close kartte ho to iss ka matlab hai k aapko 2 pips hasil howe, baqqi pios k mutabiq munafay ka inhisar lot size par munhasir hotta hai, bare lot size se nafa aur nuqsan ziadda hotta hai, jab k small lot size ye kam hotta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (15).png
Views:	3
Size:	18.7 کلوبائٹ
ID:	12581256

    Pipette


    Pipette "Pips" ki mazzeed chotti ikaye hotti hai, ya aik pip ka daswan (10th) hisa hotta hai. Wese trading plateforme main ye nazzar to atta hai, lekin iss ki normal trading main koi khas value nahi hotti hai, pips ki asal value 4rth digit tak hi hotti hai. Q k asal pip uss se hi shoro hotta hai. Pipette ka istemal sirf aik hi jaggah hotta hai aur wo hai "Nano accounts" ya "cent account" amin. Cent account main broker apne clients ko cent main trading karnne ki sahulat dette hen, aur ye account ziadda tar new traders ya kam experience wale trader market se waqefeyat hasil karnne k leye istemal kartte hen. 1Pipeete = 0.1 Pip or 0.00001

    Click image for larger version

Name:	images (5).jpeg
Views:	5
Size:	8.7 کلوبائٹ
ID:	12581254

    Pips Counting


    1.1352 par trading karnne wala EURUSD currency jore main 1 EUR 1.13852 k value k barabar hotta hai. Ab ye 1.1352 value 11,352 pips k barbar hai. Pips kisi jore ki vlaue ko right side se left side ki taraf count kartta hai. Jesa k, 1.1352 main last 2 digit pehla pip hogga, jo k 2 pips k barabar hogga, isi tarah 5 digit 50 pips ka, 3 digit 300 pips, 1 digit 1000 pips aur last ya left side se pehla digit 10000 pips k barabar hai.

    How to Calculate Pips?


    Faraz karen k aap ne EURUSD ki maojooda price 1.1350 par aik lot ki position open ki hai, yanni iss currency jore ko yahan par buy kia hai, to iss ka matlab hai k 10000 EUR ko buy karne k leye aap ko 1,1350 USD ki zarrorat hoggi.
    Ab aggar ye price 1.1352 par chali jatti haiaur app ko 2 pips hasil hotte hen, to aap ko iss ko peso main tabdeel karnna zarrori hai.
    Pehle hum pips ko exchange karengay, q k humen 2 pips ka munaffa howa tha. Chonkeh 1pip = 0.0001 hai.
    ((0.0001/1.1350) x 100,000) = 8.8 EUR aik pip ki value hai. Aapko trading main 2 pips ka munafa howa tha aur 1 pip ka munafa 8.8 hai to 2 pips ka munaffa hogga,
    2pips × 8.8 = $17.6 . Big lot size se pips ki vlaue main faraq ayega jo k ziadda munafa ya loss hoga aur small lot size se bhi pips ki value up ya down hogi, jo k kam naffa ya nuqsan ka bahis banega.

    Click image for larger version

Name:	images (14).png
Views:	2
Size:	10.9 کلوبائٹ
ID:	12581255
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex &quot;Pips&quot; &amp; &quot;Its Calculation&quot;

    How are pips calculated in forex?


    Calculating Pip Value

    When your forex account is funded with U.S. dollars and USD is the second of the pair (or the quote currency), such as with the EUR/USD pair, the pip is fixed at . 0001. In this case, the value of one pip is calculated by multiplying the trade value (or lot size) by 0.0001.
    How much is $10 in pips?


    A phenomenon does occur when the U.S. dollar is quoted as the quote currency. When this is the case, for a notional amount of 100,000 currency units, the value of the pip is always equal to US$10.
    What is pip in forex example?


    A pip is usually the last decimal place of a price quote.

    For example, for EUR/USD, it is 0.0001, and for USD/JPY, it is 0.01.
    How much is 100 pips worth?


    1 cent





    For the U..S dollar, when it comes to pip value, 100 pips equals 1 cent, and 10,000 pips equals $1. An exception to this rule is the Japanese yen.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Forex "Pips" aur "Iski Calculation"

      1. Forex Kya Hai?


      Forex, yaani foreign exchange, duniya ka sab se bara financial market hai jahan currencies ka tabadla hota hai. Is market mein traders currencies ko khareedte aur bechte hain, jisse unhe munafa hota hai. Forex ka maqsad currencies ki value ka muloqati taur par faida uthana hota hai.
      2. Pips Kya Hain?


      "Pip" ek term hai jo forex trading mein istemal hoti hai. Iska matlab hai "percentage in point" ya "price interest point". Pip ki madad se traders currency pair ki value mein choti si tabdili ka andaza lagate hain. Yeh ek basic unit hai jo currency ke daam mein choti si movement ko represent karta hai.
      3. Pips ki Ahmiyat


      Pips ka concept forex trading mein bohot ahmiyat rakhta hai. Yeh na sirf trading profits aur losses ka andaza lagane mein madad karta hai, balki traders ko market ki volatility aur trends ko samajhne mein bhi madad milti hai. Isse traders ko apne strategies tay karne mein bhi asani hoti hai.
      4. Pips Ki Calculation Kaise Hoti Hai?


      Pips ki calculation ka tarika currency pairs par depend karta hai. General rule ke mutabiq, agar aap USD ke saath kisi currency pair ka tabadla kar rahe hain, to pip ki value 0.0001 hoti hai. Misaal ke taur par, agar EUR/USD ka daam 1.1500 se 1.1501 hota hai, to yeh 1 pip ki movement hai.
      5. Currency Pairs Ka Samajhna


      Forex market mein alag-alag currency pairs hoti hain, jese ke major pairs, minor pairs, aur exotic pairs. Major pairs mein USD ki hamesha shamil hoti hai, jab ke minor aur exotic pairs mein dusri currencies shamil hoti hain. Har pair ki pip calculation ka tareeqa alag ho sakta hai.
      6. Major Currency Pairs


      Major currency pairs wo hote hain jinke trading volume bohot zyada hota hai. In pairs mein sabse zyada trading hoti hai, jaise ke EUR/USD, USD/JPY, aur GBP/USD. Inka pip calculation samajhna traders ke liye zaroori hai, kyunki yeh unki trading strategies ko affect kar sakta hai.
      7. Minor Aur Exotic Pairs


      Minor pairs wo hote hain jisme USD shamil nahi hota. Exotic pairs wo hote hain jo ek major currency aur ek emerging market currency ka combination hote hain. In pairs ki volatility zyada hoti hai, aur pip calculation bhi isliye complex ho sakti hai.
      8. Pip Value Ki Calculation


      Pip value ka calculation karne ke liye aapko lot size aur currency pair ka exchange rate jaan na zaroori hai. Misaal ke taur par, agar aap 1 lot trade kar rahe hain aur pip ki value 10 USD hai, to agar market 10 pips move karti hai to aapka munafa ya nuqsan 100 USD hoga.
      9. Lot Size Ka Tasavvur


      Lot size forex trading mein ek important concept hai. Ek standard lot 100,000 units ko represent karta hai, jab ke mini lot 10,000 units aur micro lot 1,000 units ko represent karta hai. Lot size ka asar pip value aur trading profits par bohot hota hai.
      10. Margin Aur Leverage


      Forex trading mein margin aur leverage bhi ahmiyat rakhte hain. Margin aapki trading account mein woh amount hoti hai jo aapko trade karne ke liye zaroori hoti hai. Leverage aapko choti si investment se bade trades karne ki ijaazat deta hai, lekin yeh risk bhi badha sakta hai.
      11. Pips aur Risk Management


      Traders ko pips ki calculation samajhne ke sath sath risk management ki techniques bhi seekhni chahiye. Stop-loss aur take-profit orders ka istemal karke traders apne risk ko manage kar sakte hain. Isse unhe apne trades par behtar control milta hai.
      12. Market Volatility Aur Pips


      Market volatility ka matlab hai price movements ki tezi. Jab market volatile hota hai, to pips ki calculation aur bhi zyada zaroori hoti hai. Is waqt traders ko jaldi faislay karne ki zaroorat hoti hai, aur pips unki decision-making mein madadgar hote hain.
      13. Trading Strategies Aur Pips


      Trading strategies banate waqt pips ki samajh bohot madadgar hoti hai. Traders ko yeh dekhna hota hai ke kis tarah se pips unki strategy ko affect kar sakte hain. Agar kisi strategy mein choti choti movements ka fayda uthana ho, to pips ki calculation aur bhi critical hoti hai.
      14. Conclusion


      Forex trading mein pips ek basic aur essential concept hain jo traders ko market ki movements samajhne aur profits calculate karne mein madad karte hain. Pips ki calculation ka sahi tareeqa samajh kar aur market ke trends ko dekh kar, traders apne trades ko behtar tarike se manage kar sakte hain. Is tarah, forex trading mein kamyabi hasil karne ke liye pips ki ahmiyat ko samajhna bohot zaroori hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X