Confirmation of bullish trend with Bullish squeeze alert candlestick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Confirmation of bullish trend with Bullish squeeze alert candlestick pattern
    Dear friends, Bullish Squeeze Alert Pattern aik trend reversal pattern hota hay, jo aksar market kay low price area ya high price area main appear hota hay, yeh pattern bearish trend main ya phir low price area main bhi banta hay,

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230111_0731_46_8702.jpg
Views:	1
Size:	12.4 کلوبائٹ
ID:	12580931


    Pattern three candles par mabni hota hay, jis main pehli candle aik large real body wali black candle hoti hay, is kay baad next bnnay wali candles kay colors ki koi ahmiat nahi hay, normaly second candle bearish ya bullish kay open aur close dono points pehli candle ki real body main hi hotay hain, pattern ki third candle bhi bearish ya bullish ho sakti hay jis kay open aur close points second candle ki real body main engulf hotay hain,

    How to identify this pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230111_0731_46_6090.jpg
Views:	1
Size:	24.1 کلوبائٹ
ID:	12580932

    Jaisa kay yeh aik bullish trend reversal pattern hay is waja say prices ka pehlay say bearish ya low price main hona important hota hay, is pattern ki first candle aik real body wali bearish candle hoti hay jab kay iski second candle first candle say small hoti hay aur is ki open aur close dono prices first candle ki real body main hi hoti hain, third candle bhi same usi tarah ka pattern dusri candle kay sath create karti hay, is pattern ki second aur third candle kay colour ki importance nahi hay matlab yeh black aur white dono ho sakti hay magr is ki position boht aham hay,

    Indication for traders:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230111_0731_46_7891.jpg
Views:	1
Size:	3.7 کلوبائٹ
ID:	12580933

    Is pattern main prices small pause kay baad bullish trend main change ho jati hain kiun kay yeh pattern bearish trend kay baad create hota hay, is pattern main first candle ka bearish yani black hona lazmi hay, baad main create honay wali 2nd aur 3rd candles kisi bhi colour ki ho sakti hain, second candle first candle ki real body main open aur close hoti hay, yeh aik qisam ka bullish harami pattern banati hai, jab kay pattern ki teesri candle dusri candle main open aur close hoti hay matlab yeh third candle second candle kay sath bullish harami pattern banati hay, generally ye aik qisam ka three candles par mushtamil bullish harami pattern hay,

    How to trade after this pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230111_0731_46_9533.jpg
Views:	3
Size:	19.2 کلوبائٹ
ID:	12580934

    Is pattern par trading karnay aur market main enter honay say pehlay next bullish candle ka wait zarori hay kiun kay koi bhi pattern confirmation say pehlay valid ya reliable nhi hota hay, beshak wo market kay lowest price area main hi kiun na ho, fourth bullish candle kay baad market main buy ki entry ki ja sakti hay aur stop loss ki position pattern ki sab say lowest price ya pehli candle kay sab say low price area par set karna chaiay, is main prices 1st candle kay baad market main ziada low nahi jati aur sellers ka yahan par market main interest kam ho jati hay,

اب آن لائن

Working...
X