Identification of trend and divergence in forex trading with Quick Stick indicator

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Identification of trend and divergence in forex trading with Quick Stick indicator
    Dear friends, indicators ki help say forex trading main market aur pairs ki prices aur behaviours ko predict karnay main guidance milti hay, in indicators main say aik Qstick indicator bhi hota hay, isko Quick stick indicator bhi kaha jata hay, yeh indicator tushar chande kay indicator ko numerically trend find karnay kay liay use kia jata hay, yeh har trading software main available nhi hota, iski mazeed details yeh hain


    How this indicator works:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220115_0541590.jpg
Views:	2
Size:	15.0 کلوبائٹ
ID:	12580542

    Qstick simple moving average ko apni calculation main use karta hay, yeh n period moving average main opening aur closing points ko use karta hay, yeh trading aur charting software main ziada commonly available nhi hota, yeh aik technical anaylisis indicator hay, jis ko price charts par trends ki identification kay liay create kia gia, Qstick indicator ki help say divergence ko hasil karna bhi possible hota hay, divergence trader ko possible trend reversal ka near future main batati hay,


    Calculations of Qstick indicator:


    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220115-100439_1.jpg
Views:	2
Size:	129.5 کلوبائٹ
ID:	12580543

    yeh specific time periods main opening aur closing prices kay darmian difference kay moving average hasil karnay say calculate hota hay, jab Qstick indicator ki value zero say ziada hoti hay to iska matlab yeh hota hay kay last majorty days main prices up rahi hain jo buying pressure kay increase honay ko indicate karta hay, aur iski zero say low value selling pressure ko show karti hay, signal line zero line ko upper side say cross karti hay to yeh buy ka signal faraham karta hay, sell ka signal us waqt trader ko hasil hota hay jab indicator zero par fall kar jata hay, Trending market ka qstick indicator best work karta hay, zero line ki crossing kay doran yeh boht saray false signal bhi generate karta hay, signal line create karnay kay liay traders kay pass ye bhi option hota hay kay wo Simple Moving Average ko add kar lain, is main three common period hota hay jisko signal line kay liay use kia jata hay, is ka formula yeh hay,

    QSI = EMA or SMA of (Close - Open)


    Divergence in Qstick indicator:

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220115-100508_1.jpg
Views:	3
Size:	146.0 کلوبائٹ
ID:	12580544

    Indicator main bullish divergence us time par occur karti hay jab price to fall kar rahi hoti hain laikin usi time qstick line rise kar rahi hoti hay, bearish divergence us time par hoti hay jab price rise kar rahi hoti hay laikin indicator ki value fall kar rahi hoti haily, Qstick indicator closing aur opening point ka difference find karta hay, isko apply karna kafi easy hay aur yeh achay entry points ko find karnay main bhi help karta hay, yeh historical data ko use karta hay is liay yeh ziada tar price kay pechay reh jata hay,

    How to trade with this indicator:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220115_0541592.jpg
Views:	2
Size:	14.6 کلوبائٹ
ID:	12580545

    Qstick indicator short term and long term traders kay liay daily chart time frames main kafi helpful hay, isko solely use nahi karna chaiay balkay MACD, RSI kay sath combine kartay huay use karain, jab Qstick indicator extreme high say reverse karta hay to yeh sell signal provide karta hay aur jab indicator extreme low say reverse hota hay to yeh buy ka signal daita hay,

اب آن لائن

Working...
X