Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish On-Neck Pattern
Bearish on-neck pattern "Gap Candlestick Pattern" family se taluq rakhta hai, jo k prices k top par ya Bearish trend main banta hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jo k Bearish trend continuation pattern ka kaam karta hai. Pattern ki pehli candle aik strong aur long real body main Bearish candle hoti hai, jiss ka baad aik bullish candle below gap main banti hai. Bullish candle k high aur low price bhi gap ko cover nahi karti hai. Iss pattern k baad agar aik small real body main bullish candle aisi ban jaye jo k dono candles ka gap cover na karen to ye pattern "Bearish Tasuki Gap Pattern" ban jata hai, jo k same Bearish trend continuation ka kaam karta hai.
Candles Formation
Bearish on-neck pattern pattern ki dono candles aik dosre se mukhtalif formate k color main hoti hai, lekin pehli candle ki nisbat aik to dosri candle small hoti hai aur dosra ye candle below gap main banti hai, jiss se pattern trend continuation pattern ka kaam karta hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish on-neck pattern main shamil pehli candle aik strong aur long real body wali black ya red yanni Bearish candle hoti hai. Ye candle prices k Bearish ya top trend ko zahir karti hai.
2. Second Candle: Bearish on-neck pattern ki dosri candle pehli candle k opposite yanni white, green ya bullish candle hoti hai. Ye candle ziada tar small real body main hoti hai lekin zarrori nahi hai. Pattern k mutabiq ye candle pehli candle se below gap main banti hai.
Explanation
Bearish on-neck pattern aik trend continuation pattern hai jo k Bearish trend ya prices k top par paya jata hai. Ye pattern same to same dekhne main "Bearish Gap Up Pattern" jaisa hai, lekin dosri candle k bullish banne ki waja se ye pattern mukhtalif ho jata hai. Pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka baad banne wali candle aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se below gap main banti hai. Dosri candle k open, close, high aur low pehli candle se bane gap ko cover nahi karti hai. Pattern k dosri candle bearish trend k khatme ki koshash karti hai, lekin uss main nakam ho jati hai. Pattern k baad agar aik small bullish candle banti hia jo gap ko cover na karen to ye pattern "Downside Tasuki Gap Pattern" main badal jata hai.
Trading
Bearish on-neck pattern bearish trend continuation pattern hai, jiss main pehli candle to bearish aur dosri candle bullish hoti hai, lekin bullish candle prices ko bullish trend reversal pattern main change karne main nakam ho jati hai. Ye candle market main aik strong bearish continuation pattern ka kaam karti hai, jiss ka market main kamyabi k chances taqreeban 50% se ziada hen. Pattern par trade open karne se pehle trend confirmation candle ka honna zarori hai, q k bagher trend confirmation k trade karna bohut ziada riski hota hai. Pattern k baad agar aik candle bearish real body main banti hai to yahan par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par Stop Loss lagana zarori hai, jo k pattern k sab se top side ya pehli candle k open position se aik ya do pips above side par set karen.