Assalamu Alaikum Dosto!
MT4 Trading Plateform
MetaQuotes 4 ya Mt4 trading plateform retail trader ya brokers ki taraf se istemal honne wala sab se asaan aur seedha sada trading plateform hai. Mt4 platform pori dunya main sab se ziada mashahoor aur istemal honne wala plateform hai. Is ko trader financial market main stock, commodities, energies, cryptocurrencies aur foreign exchange k agli mumkin harkat k prediction k leye istemal karte hen. MetaQuotes 4 ya Mt4 ka istemal is waja se bohut ziada maqbool hai, q k is ko trader apnne automated traderbk leye istemal kar sakte hen. Ye automated trading strategies ka behtareen platforms main se aik hai.
MT4 ko "MetaQuotes" ne 2005 main tayar kia tha, aur ye tamam users ko k leye free hai, jis ko bhi ye software trading k leye chaheye hota hai. Ye software aap ko live qeematen aur charts, order dene aur app k account ko manage karta hai.
MT4 Plateform k Istemal ka Tareeqay kar
Mt4 trading plateform main ladad yanni bohut ziada indicators hen, aur ye app k istemal karne k leye free main maojood hen. Lekin koi bhi trader in sab ko istemal nahi kar sakta hai, even k wo 10% hisa bhi istemal main nahi la sakta. Ye sare indicator international community kii taraf se banaye gaye hen aur pori dunya main mt4 trading plateform istemal karne walon k leye free main maojod hen.
Aap mt4 plateform main apni marzi ka chart bana sakten hen, lot size ko apni marzi k mutabiq apni range main set kar sakten hen aur trading tools (indicators ya oscillator) ko bhi apni markzi k mutabiq tarteeb de sakte hen. Ye plateform aap apni automated trading strategy k leye bhi istemal kar sakte hen, jiss se app behtar kaam lena chahte hen.
MT4 ko Download Karna
Mt4 trading plateform ko android playstore, Iphone appstore aur disktop k leye window app sotre se download kia ja sakta hai. Aggar kahi masla a raha ho to simple google ya kisi dosre search engine main "Mt4 Download" search karne par bhi ye mukhtalif sites par available hota hai, even k ye brokers site par bhi maojood hota hai, jaise agar hum instaforex site open karte hen, to ye download option main (android, iphon aur disktop k leye) aapko ba-asani mel jayega.
Open an Account
Mt4 trading plateform k leye aik account ka honna zarori hai, ye account demo type ya live account main se koi bhi ho sakta hai, lekin aghaz main mt4 download karnne k baad aam tawar MetaQuotes ka apna demo account create ho kar open hota hai. Mt4 trading plateform istemal karne k leye account ka honna, account main sarmaye ka hona bohut zarori hai, agar ye dono chezen "ok" hen to account trading k leye tayar hpta hai.
Market (Broker) ka Intekhab
Mt4 trading plateform download karnne k bad apnne market yanni broker ka intekhab zarori hai. Hamesha iss baat ka khas khayal rahe, k aap ko un brokers k sath account open karna chaheye, jin ki registration mt4 plateform par pehle se ho chuki ho, nahi to aap ka account mt4 main op3n nahi hoga.
Jaise hi mt4 application ko open kia jata hai to right side par teen small line (jiss k sath mt4 ka icon bhi nazar ata hai) par click karen, to aap ko aik "Manage account" ka option dekhaye dehga, par click karne se aik new window open ho jayegi, jahan par app ko aik "Plus" ka nishan nazar ayega. Plus k nishan par click karne se aik new page open hogga, jiss main do options "Open a Demo account" aur "Login an Existing Account" deye jayengay. New trader k leye demo account par click karen jinn ka live account na ho aur wo sirf learn karna chahta ho. Lekin jin ka live account hota hai, wo "Login an Existing Account" par click karen. Yahan par aik new page open hoga, jiss main aik "search baar" nazar ayega jiss main maddam sa "Chose Your Broker" lekha howa nazar ayega. Search bar main apna broker search karen, jaisa k agar hamara account "Instaforex" main ho to "Instaforex" search karne se instaforex broker k sare server show ho jayegay, jiss main hum ne further apna server talash karna hai. Server par click karne se aik new window open hoga, jiss main trader ne apna account number aur password enter karna hota hai, jo hum3n apn3 account tak le kar jate hen.
MT4 Plateform par Trading Karna
Mt4 trading plateform main account login karne k baad hummen apne matloba account rasaye hasil ho jati hai. Jahan par hamara sarmaya aur account name bhi show hota hai. Mt4 par trading se pehle plateform k darjazzel chand aik point k bare main janna zarori hai;
Quotes: Ye mt4 plateform ka by default page hota hai, yanni jab bhi hum mt4 application ko open karengay to ye page agahz main open hota hai. Ye page hamare select keye howe currency jore, cryptocurrencies, commodities aur deggar stock item jin par trading karni maojood hote hen. Yahan par hum agar mazeed koi item add karna chahay ya delete karna chahey to uss ki sahulat bhi maojod hai.
Chart Page: Chart page mt4 plateform par nechay candles ki shape main dekhaye deta hai, yahan par aap kisi bhi stock k related mukhtalif charts (line chart, bar chart, candlestick chart) ka intekhab, chrts k timeframe (one minute se le kar one month tak), mukhtalif indicators ya oscillator k intekhab kar sakte hen aur uss k sath sath kisi stock ki pori history dekh sakte hen, jiss main uss ki high aur low prices shamil hen.
Trading Page: MT4 trading plateform k trading page par aapko apne matloba open position nazar ayegi, aur ye page mt4 application par third position par teer (arrow) k icon se show ho raha hota hai. Trading page par aapko apne matloba open position k lot size, currency pair k profit ya loss k bare main information melegi.
History Page: MT4 trading plateform k historical page (jo application par nechay aik open letter ki shape main) fourth number par dekhaye deta hai. Ye page trading ki pori history rakhti hai, jiss main open close trades k profit aur loss k sath sath deposit aur withdrawal ammount bhi dekhaye dete hen.
News Page: MT4 trading plateform k news page par broker ki taraf se shaya hone wale news dekhaye dete hen, jiss se trading main kafi maddad melti hai. News page par anne wale news har stock aur currency k mutaleq hota hai, jiss se currency ya stock ki value par kafi had tak asarat muratab hote hen.
Message Page: MT4 trading plateform main message page ziada tar mt4 plateform k new update version k information k leye istemal hotte hen. Aap ko iss page ki trading k dowran zarrorat nahi paregi.
MT4 par Trade Open Karna
Mt4 trading plateform par trade open karne k leye account main leverage k mutabiq air kam az kam lot size k mutabiq sarmaye ka honna zarori hai. Trade open karne k leye pehle "Quote page" par maojod item main se kisi aik par (jiss par trade open karna ho) click karen. To aik new page "Popup" ho jayega, jiss main aap ko "New Trade" option ka intekhab karna hoga. Uss k baad aik new page open ho jayega, jiss k top par "Matloba Stock ya Currency par ka name daraj hoga" jab k uss k nechay "Market order (Instant execution aur limit order)" ki jagah hogi. Third par "Lot size" (jo aap ko required ho aur aap ka sarmaye k mutabiq ho), uss se nechay "Take profit, Stop loss aur diviation" k intekhab ki position hogi. Pher matloba stock ka range show ho raha hoga, jab k last par "Buy aur Sell" ka option hoga. Agar aap market k current situation k mutabiq trade open karna chahte hen to uss k leye iss page k direct "Buy ys Sell" karne se trade open ho jayeg, lekin agar pending order put karna hai to uss k leye matloba pending order (buy limit, sell limit, buy stop aur sell stop) select karen aur apne required range par order ko pending k leye laga den.
MT4 par Trade Close Karna
Mt4 trading plateform par trade close karne k leye aapko "Trade Page" (jo mt4 plateform par third number par teer k nishan se zahir hota hai) oar jana parega, jahan par apko apna matloba open trade nazar ayega. Yahan par aap trade par jab click karengay, to uss se aik small new window popup ho jayegi, jahan par aapko sab se top option "Close trade" par click karna hoga. Close trade par click karne se aik new page open hojayega, jahan par close trade ka option a raha hoga, Jiss k sath sath trade ka profit aur loss bhi show ho raha hoga. Close trade par click karne se trade profit ya loss main close ho jayega.
Yahan par aik baat aur jo bohut ziada aham hai, aur wo ye k yahan par ap matloba item k lot size ko bhi kam kar sakte hen. Agar aap chahte hen k mera half trade close ho aur baqi running main rahe to top par lot size k minus "-" par click karne se lot size kam hoga, jiss se app baasani apnna target hasil kar sakte hen.