How Head Fake trade situation acts on breakout levels

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How Head Fake trade situation acts on breakout levels
    Dear friends, forex main Head fake trade hum market ki us state ya condition ko kehtay hain jis main pairs ki prices aik specific direction main moment zahir kar kay us kay totaly opposite moment start kar daitay hain, head fake trades ziada tar main breakout points par act karti hay jaisay major support aur resistance level hotay hain, in moments say traders ko us waqt ziada loss ka samna karna parta hay jab major trend kay start honay say pehlay yeh opposite direction main move kar jatay hain,


    Occurence of head fake trade condition:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220112_2010211.jpg
Views:	2
Size:	20.6 کلوبائٹ
ID:	12580489

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220113-071402_Opera Mini.jpg
Views:	2
Size:	116.6 کلوبائٹ
ID:	12580490

    Aisi condition us time par occur hoti hay jab market fall kar rahi hoti hai aur trader us main sell ki trade ko open karnay ki koshish kartay hain laikin phir market opposite side par move karna start kar daiti hay ya rise karna start kar daiti hay, same situation us time par zahir hoti hay jab market upside par move kar rahi hoti hay aur kuch time bad fall back karti hay, is man trader yeh samajhtay hain kay market nay apna trend change kar lia hay laikin phir yeh short main move karnay ki bajay phir say long main move karna start ho jati hay,

    Breakout information by head fake trade:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220112_2010210.jpg
Views:	3
Size:	30.3 کلوبائٹ
ID:	12580491

    traders breakout points ko closely simple moving average kay sath monitor kartay hain, aisay level par trade karnay kay liay pehlay yeh confirm kartay hain, initial breakout kay baad small pull backs zahir hoti hain lihaza jab prices original break out level say retrace hoti hain to traders ko is baat ki janch karni hoti hay kay kia yeh head fake ki beginning ha, ya false breakout hay ya phir temporary breakout jis kay baad market breakout ki direction main continue moment start karti hay, trader support aur resistance ko use kar kay pattern ko identify kartay hain, support level par market ki price pause ho jati hay aur wo rise karna start kar deti hai so es time par demand increase hoti hai or buyer market ma increase kar jatay hain, yeh support level trader ko information daita hay kay market ki price is point say mazeed low move ni kary gi,

    How to trade in head fake situation:


    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220113-100214_1.jpg
Views:	2
Size:	165.7 کلوبائٹ
ID:	12580492

    Jaisa kay is situation market ki price pehlay reverse hoti hay aur phir apni pehli wali direction ko follow karna start kar daiti hai to is kay reverse honay par trader ko reverse ki trade ko open nhi karna chaiay balkay market kay original trend ki side par trade ko open karna chaiay, jab Market main price falling main ja rahi hoti hay to index bhi fall kar raha hota hay jo economic fundamental ki waja say ho raha hota hay

اب آن لائن

Working...
X