Trading techniques based on Point and Figure Chart and process of getting trade signa

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading techniques based on Point and Figure Chart and process of getting trade signa
    Dear friends, Point and figure (P & F) chart main ham time ki passage kay baghair chart per honay wali different types kay pairs ki price moment ko observe kartay hain, yeh chart dusray charts ki nisbat differently price moment ko represent karta hay, is main price moment ko X and O kay marks kay sath columns main zahir karti hain, Rising price ko X say jab kay price falling ko O say represent kartay hain, point and figure charts per prices ko visualize karnay kay liay support aur resistance levels kay sath dusray patterns bhi clearly defined hotay hain aur chart par breakout clearly defined hota hay kiun kay yeh false breakout ko zahir nahi karta,

    How to use point and figure charts:


    Click image for larger version

Name:	PointFigureES.gif
Views:	4
Size:	28.2 کلوبائٹ
ID:	12580458

    Point and figure chart pairs ya commodities ki price moments ko plot karta hay jis main time ki consideration nhi hoti, is chart pattern main koi calculation use nhi ki jati balkay yeh sirf two variables kay set par work karta hay, in variables main say aik box size ka hota hai jis ko dollar sign kay sath use kia jata hay, P & F chart ko view kartay huay technical analysts support aur resistance kay concept ko utilize kartay hain, ye chart false breakouts ya tiny price moments ko bhi clearly show karta hay, jab price set amount sa high move karta hay to isay box price kay sath denote kia jata hay is kay result main point X banta hay, isi tarah point O create hota hay jab price drop hota hay,

    Provision of information to traders:

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220112-173451_Opera Mini.jpg
Views:	3
Size:	175.1 کلوبائٹ
ID:	12580459

    Point and figure chart technical analyst ki help karta hay aur woh iski base par market kay trend find kar saktay hain, sath sath candlestick ki base par trending signal bhi provide karta hay, X aur O box aik dusray kay opar series banatay rehtay hain, box ka size pair ki price aur trader kay trading style kay hisab say fix kia jata hay, jab kay price ki reversal ki surat main X ko O follow karay to is hisab say box bhi reverse ho jata hay, traders ko is main reversal amount bhi daina hoti hay jo normal say 3 percent ziada hoti hay, jaisay agr box size 1 % hay to ham reversal size 3% set karain gay, iskay ilawa is main low aur high prices kay liay bhi variables use kiay jatay hain laikin is kay liay phir chart per mazeed Xs aur Os bantay rahain gay,


    Trading technique based on P & F Charts:

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220111-155633_1.jpg
Views:	3
Size:	197.5 کلوبائٹ
ID:	12580460
    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220112_1126203.jpg
Views:	2
Size:	15.2 کلوبائٹ
ID:	12580461

    P & F chart ka use bhi baki charts matlab candlesticks ki tarah hi hota hay, laikin iska main benefit yeh hay kay traders breakouts ki confirmation kay liye isko use kartay hain, jab prices small moments ki waja say X aur O column main further koi X aur O put nhi kar saktin to reversal kay start honay ka signal milta hay jis ki waja say price three box size jitna opposite direction main move karta hay, chart ka aik aur main feature yeh hay kay jab box ka size exceed ho jata hay to same column main new box create ho jata hay jo price kay mazeed rising continuation ka batata hay,

اب آن لائن

Working...
X