Sideways market moment indicated by Choppiness Index Indicator
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Sideways market moment indicated by Choppiness Index Indicator
    Dear friends, forex trading main market aur pairs ki routine ki prediction kay liay traders indicators say help laitay hain, yeh indicators market kay behaviour aur iski bullish ya bearish nature ko zahir kartay hain, is kay ilawa ongoing ya upcoming trends reversal ya continuation ki indication bhi daitay hain, indicators ki mukhtalif kisam main say aik "choppiness index indicator" bhi hota hay,

    Guidance of choppiness index indicator:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220104_1318350.jpg
Views:	4
Size:	13.3 کلوبائٹ
ID:	12580389

    aik volatility indicator ha jo traders ko indicate karta ha kay kia market trend ko follow kar rahi ha ya iski moment sideways ya choppy ha, is indicator ko australia kay Mr Bill nay introduce kia, is indicator ka kam trend kay baray main batana nahi balkay market ki volatility indicate karna hay, trend do tarah ka hota hay laikin yeh hamain sirf yeh batata hay kay market trend main hay ya nahi aur trend ki direction hamain khud maloom karni hoti hay, ye indicator future prices ki prediction nhi daita aur na hi direction batata hay, yeh aik directionless indicator hota hay jo sirf market ki choppy conditions ko indicate karta hay,

    How to use or apply this indicator:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220104_1318351.jpg
Views:	4
Size:	16.0 کلوبائٹ
ID:	12580390

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220104-172849_1.jpg
Views:	3
Size:	72.2 کلوبائٹ
ID:	12580391

    Yeh indicator basically average true range ki calculation per depend karta hay, jaisay hi market ki range increase hoti hay market uper barhna start ho jati hay, yeh indicator prevailing market conditions ki guidance daita hay, is main two parameters hotay hain, indicator ki values 0 aur 100 kay darmian hoti hain, jab yeh values 100 kay kareeb hoti hain to yeh market kay choppy honay ki indication daita hay aur jab value 0 kay kareeb hoti hay to yeh trending market ki information hoti hay,

    Trading strategy used for this indicator:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220104_1318353.jpg
Views:	3
Size:	24.2 کلوبائٹ
ID:	12580392

    ye indicator market kay trend main upcoming situations ka baray main btata hay, long consolidation ya ranging situations kay baad yeh confirm hota hay kay market trend moment start karay gi, is kay working rules aur uses simple hotay hain, is kay liay do trigger points ki zaroorat hoti hay jab 38.2 say range upside oscillate hona start kary to is ka matlab yeh hota hay kay market choppy honay wali hay aur jab is indicator ki range 61.8 say down ki taraf aati hay to iska matlab hay kay market trending main anay wali hay

اب آن لائن

Working...
X