Woking methodology and main features of Keltner Channels in forex trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Woking methodology and main features of Keltner Channels in forex trading
    Dear friends, forex main use honay walay mukhtalif tools aur indicator traders ko market aur pairs ki moment kay baray main guide kartay hain aur achi trade opportunity provide kartay hain, yeh indicators leading aur lagging ki main categories main divide hotay hain, in main say aik Keltner channel bhi hay jis ki details yeh hain,

    Details of keltner channel:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220103_0624024.jpg
Views:	2
Size:	13.6 کلوبائٹ
ID:	12580353

    Yeh aik volatility based indicator hay, jo yeh indication daita ha kay kia market apna current trend continue karay gi ya iski direction change ho gi, is indicator ko Chester Keltner nay develop kia tha, in channel ki direction market main prevailing trend ki information daitay hain, keltner channel indicator price moments ko observe kartay hain jo lower aur upper moving average kay bands ki waja say hoti hain, ye fundamentally aik price reversal indicator bhi hay, yeh bollinger band aur moving average channel ki tarah ka indicator hay,


    Working of keltner channel:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220103_0624022.jpg
Views:	2
Size:	17.9 کلوبائٹ
ID:	12580354

    Keltner channel volatility aur average prices kay sath lower, upper aur middle lines plot karta hay, middle line perticular time period ka moving average indicate karti hay, is say above upper envelope aur below lower envelop create hota hay, jab prices middle band kay above jati hain to market ki over bought condition hoti hay aur jab prices middle band kay below ati hain to yeh oversold ki indication hoti hay, Channel lines ka above moment market main bullish trend ki strength ko indicate karta hay aur below channel line wali moment bearish trend ki strength ko show karti hay,

    Formula used for calculations:


    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220103-093454_1.jpg
Views:	2
Size:	105.4 کلوبائٹ
ID:	12580355


    Kuch indicators say keltner channel ki calculation kafi simple hoti hay, is main aik predefined time period jo 20 period hota hay kay exponential moving average aur average true range find kartay hain, upper band ki value calculate karnay kay liay average true range ko two say multiply kar kay exponential moving average plus kia jata hay aur isi tarah lower band bhi calculate kartay hain jis ma addition ki bjay subtraction kartay hain, each time period kay liay ye hi steps repeat kartay hain jis say keltner channels hasil hotay hain, is tarah keltner channel ki middle line aur upper, lower band ka ye formula hota ha.

    Keltner Channel middle line = Exponential Moving Average

    Upper band = Exponential moving average + (2 x Average True Range)

    Lower band = Exponential moving average - (2 x Average True Range)

    Bullish and Bearish moments information:

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220103-164856_Opera Mini.jpg
Views:	2
Size:	146.4 کلوبائٹ
ID:	12580356

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220103-164910_Opera Mini.jpg
Views:	2
Size:	155.4 کلوبائٹ
ID:	12580357

    Is main channel lines ki bullish aur bearish moments trader ko aik trend kay khatam honay aur dusray trend kay start honay ki bhi information daiti hain, channel ki above moment uptrend ko show karti hay aur channel ki down moment downtrend ko indicate karti hay aur jab channel sideways moment karta hay to ye trend flat honay ki indication hoti hay, jab keltner channel flat ho jay to price upper aur lower channel main jump kar rahi hoti hay lihaza is time par market ko consolidation state main consider kia jata hay, kafi times par keltner channel trader ko market ki uptrend aur downtrend ya consolidation state ka signal daiti hay aur yeh sirf keltner channel ko dakhnay say hi pata chal jata hay,

اب آن لائن

Working...
X