Forex Market "Day Trading" ki Information

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Market "Day Trading" ki Information
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Day Trading


    Day trading forex trading main aik bohut teezi k sath barhta howa rujhan hai, jiss main traders market k daily base par apne trades open aur close karte hen. Day trading long term ya scalping strategy se thora sa mukhtalif hai, q k ye na to bohut ziada short trading yanni seconds ya minutes par mushtamil hota hai aur na hi long term ki tarah weeks ya months par muheet hota hai. Day trading main traders market ki daily base par analysis karte hen aur koshash karte hen k wo apne trades ko same day main close bhi karen, q k ye strategy indicators ya candlestick pattern par munhasir hoti hai, jo long term ki bajaye short term ki technical analysis k base par hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (210).jpeg
Views:	1
Size:	32.5 کلوبائٹ
ID:	12580247

    Day Trading k Zarori Awamel


    Day trading main bhi scalping strategy ya long term trading ki tarah market ki analysis ki jati hai, jiss main market k leye istemal honne wale zarori awamel jaise indicators, oscillators candlestick pattern, charts patterns ya dosre news events ka istemal hota hai. Ye sari chizen long term ya scalping strategy k muqabele main day trading main ziada faida deti hai, aur yahan tak k ye iss ka zarori juzz bhi tasawar ki jati hai. Day trading k kuch zarori awamel darjazzel hen:

    Timeframe

    Day trading main mukhtalif time frame ka mukhtalif situation k analysis k leye istemal kia jata hai. Jaisa k daily demand and supply ya daily high aur low k leye "Daily" ya "D1" timeframe ka istemal kia jata hai. Trend analysis aur take profit ya apne hadaf k hosol k leye 60 minutes, hourly ya "H1" timeframe ka istemal kia jata hai. Jab k trade entry k leye "five minutes (M5)" ya "fifteen minutes (M15)" ka timeframe ka istemal hota hai.

    Currencies Pairs

    EUR/USD, GBP/USD aur AUD/USD currencies pairs main se sirf aik waqat main sirf aik currency pair, q k inn sab ka behaviour American dollar k muqabele main same hota hai, ya ye keh lo k ye pairs apas main positive correlated hote hen. Jab k USD/JPY, EUR/JPY aur GBP/JPY pairs main aik waqat main sirf aik hi pair ka intekhab hai, in ka behaviour bhi JPY k muqabele main same positive correlation wala hota hai.

    Main Strategy

    Currencies pairs k supply zone main sell ki entry kia karen jab k demand zone main buy karen, ye sirf five se fifteen minutes candlestick chart pattern k timeframe main aisa karen. Ye zone sirf uss waqat valid hongay jab bhi ye 40 pips se kam hongay.

    Entry Types
    1. Pending order uss waqat lagayen jab market main daily demand aur hourly demand aik jaisa ho.
    2. Lekin Stop entry uss waqat karen jab market ki demand aur supply zone sirf hourly timeframe k mutabiq hon.
    3. Agar ye zone sirf 5 minuts k timeframe main ho to buy ya sell ki confirm entry karen.


    News Trading

    News k dowran koi trading na karen, agar pending order hen to uss ko close na karen agar cheh prices uss k bohut qareeb q na ho. News k 15 minutes k baad trade entry karen q k iss k baad market main trend ka side confirm ho jata hai.

    Pips Number

    Prices k levels 00 aur 50 k darmeyan kam ya ziada hongay, lekin ye 40 pips se kisi aik side par ziada nahi hone chaheye.

    Lot Size

    Daily ya day trading main maximum aur minimum lots ki tadad do hongay, iss ko increase to hargez na karen, decrease kar sakte hen.

    Stop Loss

    Day trading main stop loss technical nahi hoga, bas iss ko pips k mutabiq ya risk k mutabiq set karen. maximum stop loss ko 50 pips par select karen, jab k minimum 20 pips par set karen.

    Pending Orders

    Pending orders ki maximum positions ki tadad 5 se ziada nahi hone chaheye, q k agar ye sare aik hi dafa hit ho gaye to ye over-trading ho jayegi.

    Removal Of Pending Order

    Pending orders agar one week tak ya maximum 10 days tak hit na ho jaye to uss ko remove kard3n, issi tarah se agar prices pending orders se 300 pips door ho jayen to bhi pending orders ko khatam karen.

    Risk

    Trading Account k mutabiq ziada se ziada 3% tak agar pehle se koi order open ho to uss sorat main maximum balance k 3% mazeed risk le sakte hen.

    Reward to Risk Ratio

    Pehle target k leye 1:1 ka ratio set karen jab k dosre target k leye 1:3 ratio set karen.

    Money Management

    Jaisa hi pehla target hasil ho jayen yanni TP1 hit ho jayen to uss sorat main stop loss ko entry point par shift karen, issi tarah se ya to ziada profit hasil ho jayega, warna loss ka chances nahi hongay.

    Trading History

    Jab bhi trade open karen to uss waqat iss ka note apne pass mehfoz karlen, iss k sath sath profit aur loss ko bhi maintain karen, aur weekly ya monthly base par iss ko apne strategy k mutabiq dekhen, k ye kitna fiadamand ya nuqsandeh sabit hota hai, ys strategy ko kahan kahan se tabdeel karne ki zarorat hai.

اب آن لائن

Working...
X