Assalamu Alaikum Dosto!
Three White Soldiers Pattern
Three White soldiers pattern risk reward ratio main sab se best pattern hai. Jab bhi aik bearish trend ya low prices area main teen white or green lagatar candles bante hen, to ye aik three white soldier candlestick pattern banate hen. Ye pattern bullish trend reversal k leye jana jata hai, jo k bearish trend k akher banta hai. Pattern ki teeno candles shape main ya length main taqreeban aik jaisi hoti hai, jiss main har agli candles ka open price pechli candle k open price se ziada hota hai. Traders iss pattern ko buyers ki pressure k tawar par dekhte hen, jiss se prices mazeed bullish ja sakti hai. Ye chart pattern bearish trend k ikhtetam aur sellers se buyers main market k cotrol k mutaqeli ka ishara deta hai.
Candles Formation
Three white soldier pattern main teen bullish candles aik dosre k top par open aur close hoti hai. Ye pattern bottom price pe bearish trend reversal aur bullish prices par bullish trend continuation ka kaam karta hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Three white soldier candlestick pattern main main pehlee candle aik strong aur real body wali bullish candle bantti hai. Jo k trend k main tasalsul ki alammat hai. Ye candle white ya green color main hotti hai.
2. Second Candle: Three White Soldiers pattern main dosree candle bhi pehlee candle ki tarrah aik strong aur real body wali bullish candle hotti hai, jo k color main white ya green main bantti hai.
3. Third Candle: Three White Soldiers pattern main teesree candle bhi same pehlee two days candles ki tarrah bullish candle hi hotti hai, jo k color main white ya green hotti hai. Ye candle bullish pattern ki mazzbotti main mazzeed izzafa kartti hai.
Explaination
Three White Soldiers pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai jo k bearish trend main banta hai, jo semat ki tabdeeli ki nishan-dahi karta hai. Ye pattern teen lagatar bullish candles par mushtamil hai jo aik dosre k high par open aur close hoti hai. Ye pattern wese bagher confirmation bhi aik strong bullish signal deta hai, k ab bullish trend reversal hone wala hai. Pattern ki dosri candle pehle candle se size main bari hoti hai, jab k dosri aur teesri candles size main taqreeban same hoti hai. Iss pattern k teeno candles k up aur down par wick nahi hoti, jiss se pattern ki mazboti ka pata chal jata hai, k market buyers k control main hai. Ye pattern wese support zone k qareeb ziada banta hai, jiss se prices resistance levels ki taraf harkat karna shoro karti hai.
Trading
Three white soldier candlestick pattern price chart par bagher k banne se aik strong message melta hai, k ab market mazeed nechay jane muatahamel nahi ho sakta hai. Iss waja se ye pattern jab bhi bearish trend ya low price main banta hai, to ye bullish trend reversal ka aik strong signal deta hai. Yahan par market main buyers active hone ki koshash kartte hen. Ye pattern sideways market main ban sakta hai, jiss ka rawaya same bullish trend ka hi hota hai. Trading k leye bullish trend ki continuation aur bullish trend reversal dono main prices bohut teezi k sath bullish jati hai. Three White Soldiers pattern main trade open karne se pehle trend confirmation ka indicator se zarror karen, q k aksar ziadda peak value par market main entry bare loss ka bhi sabbab bantti hai. Pattern ki trend confirmation price action yanni aik aur bullish candle se bhi ho saktti hai. Stop Loss ko pehli candle k lower point ye aggar ye candle size main small ho yo dosri candle k lower price par set karen.