Buyers strength in forex market showed by Dragonfly doji candlestick
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Buyers strength in forex market showed by Dragonfly doji candlestick
    Dear friends, traders ko forex main candles kay pattern market ki moment ki infirmation daitay hain aur inki base par wo buy ya sell ki trade open kartay hain, kuch candles aur in say bnnay walay patterns reversal ka batati hain aur kuch continuation ki information daiti hain, is kay ilawa market ki range ka bhi idea daiti hain, in candles main say aik dragonfly doji candle bhi hay,

    How this candle is appeared:


    Click image for larger version

Name:	images (34).jpeg
Views:	6
Size:	22.1 کلوبائٹ
ID:	12578008

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211204_1406021.jpg
Views:	2
Size:	10.8 کلوبائٹ
ID:	12578009

    Dragonfly doji long lower shadow hota ha lakin is ka upper shadow nhi hota, yeh english alphabet ' T ' kay sath resemble hoti hay, candle market main indecision ko show karti ha, is candle ka high, low, open aur close point same hota hay, market main jab bulls aur bears control gain karnay ki koshish kar rahay hotay hain to is tarah ki candle banti hay kiun kay dono situations main uncertainity zahir hoti hay, candle kay above aur below tall shadow ya wicks ban rahi hoti hain, yeh candle potential reversal kay signals bhi daiti hay

    Criteria to identify this candle:


    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211204-173457_Opera Mini.jpg
Views:	3
Size:	92.1 کلوبائٹ
ID:	12578010

    ye bullish candle hoti hay jo yeh information daiti hay kay market main prices high par open honay kay baad low move karti hain lakin end par close point wo hi hota hay jahan say open hui hoti ha, jis kay result main open, close aur high prices same point par hoti hain, yeh candle us waqt ziada significant hoti hay jab yeh downtrend main banti hay, yeh is baat ki bhi indication daiti hay kay bearish ya downtrend finish honay wala hay aur uptrend pattern start honay wala hay traders ko confirmation kay liay next candle ya indicators ka use karna chaiay ta kay clear indications hasil hon,

    Trading tactics after this candle:

    Click image for larger version

Name:	images (35).jpeg
Views:	13
Size:	28.8 کلوبائٹ
ID:	12578011

    forex trading main dragonfly doji candlestick pattern ko identify karnay kay baad hamain market main buying ki opportunity ka signal milta hay kiun kay yeh candlestick hamain market main buyer's pressure ko show karti hay aur yeh guide karti hay kay sellers kay mukablay main buyers pressure ziada hay, is liay yeh candlestick kay baad market main maximum chances prices kay up janay kay hotay hain,
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Buyers strength in forex market showed by Dragonfly doji candlestick

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Dragonfly doji Candlestick


    Dragonfly doji candle kisi bhi range ki single session candlestick hai, jo aik down-trend ke bilkul nechay zahir hota hai. Ye candle prices k bottom par aik strong support level banati hai, jiss k baad market main bulls active hona shoro ho jate hen. Ye candle trend reversal ki nishan-dahi karta hai, candle k real body k lower shadow aik ishara hai, keh sellers ne prices ko nechay le jane ki koshish ki, lekin din k ikhtetam k baad wo nakaam ho jate hen. Kuch chartists ke mutabiq, dragonfly doji candle ko pechle session ke ekhtataam ke waqfay ke sath bhi paish kya jana chahiye. Dragonfly doji candle bagher real body k hone ki waja se open aur close same point par bante hen.

    Click image for larger version

Name:	images (8).png
Views:	2
Size:	14.0 کلوبائٹ
ID:	12444111

    Candles Formation


    Dragonfly doji candlestick dekhen main dosre candles jaisi dekhaye deti hai, lekin prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se aik strong bullish trend reversal ka kaam karti hai. Candle prices ko lower side par reject karti hai, jiss se maojoda trend badal jata hai. Ye aik single candle pattern hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (10).png
Views:	8
Size:	1.7 کلوبائٹ
ID:	12444112

    Dragonfly Doji Candle:[/COLOR] Dragonfly doji candlestick aik bagher real body wali candle hai, jiss k lower side par aik long shadow hota hai. Candle ka open, close aur high price same point par hota hai. Jab k candle k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, lekin agara banta bhi hai, to bohut ziada large size main nahi hona chaheye, jiss se candle ki formate tabdeel hone ka hadsha ho.

    Explanation

    Dragonfly doji candlestick aik bagher real body wali single candle pattern hai, jo k lower side par aik lamba shadow ya saya rakhti hai. Candle k baane ki pechay ki psychology kuch yon hoti hai, k jab bhi aik session ya aik din k dowran prices pehle downward movement karne k baad wapis apne open price k ooper a kar close ho jati hai, jiss se candle k lower side par aik lamba shadow ya saya ban jata hai, jab k candle ka upper side same open aur close k barabar hota hai,Ye candle normal price chart par ziada moasar sabit nahi hoti hai, lekin candle ka trend k bottom par low price area main banne par bullish trend reversal ka kaam karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (7).png
Views:	47
Size:	10.8 کلوبائٹ
ID:	12444110

    CENTER] Trading [/CENTER]

    Dragonfly doji trading main buy ka signal genrate karti hai, jiss par market main confirmation k baad entry ki ja sakti hai. Candle ka long timeframe main hona zarori hai, jab k confirmation candle ak lazmi bullish real body main hona chaheye, jab k sath sath bullish candle ka dragonfly doji candle k upper par bhi close honi chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se indicator se bhi trend confirmation lena zarori hai, jaise RSI, MACD, CCI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main hona chaheye. Candle k baad bearish candle banne ki sorat main trade entry nahi karni chaheye. Candle par Stop Loss sab se top position ya candle k low price jo k trend k leye support zone banta hai, se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (9).png
Views:	12
Size:	12.5 کلوبائٹ
ID:	12444109

    اب آن لائن

    Working...
    X