Forex markets Trend Changing information from Parabolic Sar indicator
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex markets Trend Changing information from Parabolic Sar indicator
    Dear friends, forex main hum mukhtalif chart patterns aur indicator ko use kar kay market kay bullish aur bearish behaviour ko observe kartay hain in main say kuch leading hotay indicator hain aur kuch lagging indicators, Parabolic Sar aik basic tarah ka indicator ha jo traders ko different trading strategies bnanay kay liay guidance daitay hain,

    Description of Parabolic Sar indicator:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211211_1540072.jpg
Views:	4
Size:	16.0 کلوبائٹ
ID:	12577972

    Yeh aik technical indicator ha jis ko J.Welles Wilder nay develop kia, ye traders ko market kay trend kay baray main information daitay hain aur potential price reversal ka btatay hain, is kay zariay hum long term trading bhi kar sakay hain aur parabolic indicator scalping kay liay bhi kafi ziada suitable consider kia jata hay, yeh indicator suitable entry aur exit points select karnay kay liay trailing stop aur reverse method jisay SAR (Stop And Reverse) ko use karta hay

    How it guide traders about up and down trend in market:

    Click image for larger version

Name:	2 SAR.jpg
Views:	5
Size:	87.4 کلوبائٹ
ID:	12577973

    Click image for larger version

Name:	grade5-parabolic-SAR.png
Views:	37
Size:	12.1 کلوبائٹ
ID:	12577974

    Parabolic sar indicator charts par dots ki aik series kay sath appear ho rahay hain, yeh specific pairs ki prices kay above ya below appear hotay hain jo price ki direction determine karatay hain, is indicator ka use karnay ka hamain yeh faida hota hay kay iski help say hum market main exact entry kar saktay hain aur agar hum is kay sath sath Kisi exponential moving average ya phir koi dusra indicator use kartay hain to is say hamain aur ziada confirmation hasil ho jati hay, jab parabolic sar prices kay below show ho rahay hon to ye uptrend ki indication hoti ha aur jab ye prices kay above show ho rahay hon to yeh downward trend ka signal hota ha jo bears ka control zahir karta ha, yeh dots flip ho kar potential change ko indicate kartay hain, jab pairs ki prices rise ya fall kar rahi hoti hain to un k sath sath ye dots bhi up aur down move kartay jatay hain,


    How to trade with this indicator:


    Click image for larger version

Name:	maxresdefault.jpg
Views:	6
Size:	149.6 کلوبائٹ
ID:	12577975

    Parabolic sar indicator ka purpose hai chart pay trend ki shifting aur continuation zahir karta jata hay, yeh indicator traders ko take profit aur stoploss place karnay ka method set karatay hain, jab pairs ki price rise kar rahi ho stoploss ko dot wali position par set karna chaiay, isi tarah fall karnay ki surat main bhi adjust karain har price candle kay baad stoploss ko adjust kartay rehnay say hum apna profit secure kar saktay hain

اب آن لائن

Working...
X