How Net Volume Indicator differentiate bullish and bearish sentiments in forex market
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How Net Volume Indicator differentiate bullish and bearish sentiments in forex market
    Dear friends, Forex trading main boht saray indicator use hotay hain jo traders ko market ki strength aur weakness ki information daitay hain, in indicators ki help say market main thek entry kar patay hain, forex main kuch factors kafi importance rakhtay hain jin main say aik volume bhi hay, Ye baat kafi important hay kay market volume ko study karna useful sabit hota hay, jahan par technical analysis ki importance hay wahan par volume traders kay liay kafi helpful hota hay, volume based indicator "Net Volume Indicator" bhi aik important indicator hay, jis ki details yeh hain

    Guidance of Net Volume indicator:


    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211230-205241_Opera Mini.jpg
Views:	2
Size:	174.7 کلوبائٹ
ID:	12577806

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211230-205303_Opera Mini.jpg
Views:	2
Size:	179.3 کلوبائٹ
ID:	12577807

    Yeh aik aisa technical indicator hay jo pairs ki price kay rise karnay aur fall karnay ka volume indicate karta ha, yeh market kay bullish aur bearish sentiments ko differentiate karta ha, Yeh kisi bhi specific time main price movement ka positive ya negative aggregate maloom karta hay, Net volume ka aim market ka current status batana hota hay, Market ka higher volume aur lower volume ka difference hi asal main net volume hota hay, normaly charts kay below par plot hota ha jo bars ki surat main har period ka net volume indicate kar raha hota hay,


    How value of Net Volume Indicator is calculated:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211231_0616380.jpg
Views:	4
Size:	12.4 کلوبائٹ
ID:	12577808

    Yeh indicator market ki direction ko indicate karta hay aur market kay sentiments ko bhi find karnay main help karta hay, yeh indicator dusray volume indicators say totaly different hota hay kiun kay yeh market kay bullish ya bearish honay ko clearly indicate karta hay, Jab moments ka total rise total fall say greater ho ga to iska net volume positive ho ga aur isi tarah agar moment ka total fall total rise say ziada hoga to iska net volume negative show ho ga, is indicator ka yeh formula hota ha,

    Net Volume = Pairs Rising Volume - Pairs Falling Volume

    is tarah indicator ki positive value rising volume ko denote karti ha jo buying pressure ki indication hoti hay aur indicator ki negative value falling volume ko indicate karti hay jo selling pressure ki indication hoti hay

    Trading strategy with this indicator:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211231_0616381.jpg
Views:	4
Size:	16.1 کلوبائٹ
ID:	12577809

    Traders isko sirf net volume calculate karnay ki bjay market ki direction ki bhi determine kartay hain, yeh indicator resistance levels kay break honay kay baad market main buying pressure ka bhi batata hay, traders isko dusray indicators aur chart patterns ka sath combine use kar kay achay results hasil kar saktay hain, Jab market main bulls ziada hon to yeh volume main increase honay ki waja say hi price rise ka sabab banta hay aur agr market ka volume low ho jay to iska matlab yahan price low rahay gi, yeh single time frame volume kay liay bhi best hota hay

اب آن لائن

Working...
X