Forex Trading "Over-Trading"

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading "Over-Trading"
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Over-Trading


    Over-trading forex currencies pairs, stocks aur deggar securities ki zarrorat se ziadda khareed-wa-ferokht ka ammal hai. Over trading k mutabiq bagher ruke sara din trading karnna aur gher muasar pesale karnna shamil hen, jo economic loss ka bahiss bantti hai. Over trading darasal aik nafseyyati masla hai aur har aik trader ko iss ka bakhobi andazza honna chaheye. Jab bhi aik trader k pass forex trading k hawale se proper planning nahi hotti, jiss k mutabiq wo trading se kia hasil karnna chahtta hai, to wo over-trading kar jatta hai, jo k trader k jazzbat se munsalik ammal hai.
    Kuch behtar techniques ka estemal karnne se aik trader top-to-bottom strategy, daily munaffa, loss risk aur per day k hissab se jitnni trading required ho uss ko apnatta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (190).jpeg
Views:	5
Size:	30.0 کلوبائٹ
ID:	12577514

    Over-Trading k Alamaat


    Financial market main over-trading, chahay wo forex trading ho, commodities ho, stocks ho ya energies ho waghera se murad security ki zarrorat se ziadda khareed-wa-ferokht ka ammal hai. Over trading aik aisa masla hai, jo new traders aur expert trader donno ko ho saktta hai. Ye uss waqqat hotta hai, jab trader trading band nahi kartte aur khud ko economic masayel ki tarraf le kar jatte hen.
    Ye note karnna zarrori hai, k over-trading k wajohhat trading psychology aur uss amal k dawraan traders ko apnne jazzbat k samnbalne k tareeqay se wabasta hai. Ye uss waqqat hotta hai, jab traders ne trading se apnni tawaqa'at ko pori tarah se mutmayen nahi howa hotta hai. Mukhtasarran ye k ye unn k jazzbat ya lalach hi hotte hen jo trader ko market main over-trading ki tarraf le jatte hen.
    Ab, q k ye aik nafsetti masla hai, iss leye trading k barre main loggo k rawayye tabdeel karnne k tareeqay maojood hen. Trading khud apnne mind setup k zarrye se over-trading jaise masle par qabbo pa saktta hai.

    Over-Trading se Bachne k Tareeqay


    Over-trading chonkeh aik nafseyyati masla hai, iss wajja se trader ko khud se aise techniques appnane hongay jiss ki maddad se wo iss jazzbati masla par qabbo pa sake. Darjazzel main kuch aisi techniques hai, jiss ko apnnane se aik trader bohut hadd tak over trading se mehfoz raha ja saktta hai;

    1. Trading plan banayen
    2. Sara din trading se gurezz karren
    3. Daily base par trading ko mehddod karen
    4. Ziadda loss hone ki sorrat main trading se thora sa waqfa len
    5. Take profit aur stop loss ka estemal zarror karen


    1. Trading Plan


    Trading plan ki technique har aik trader par laggo hotti hai, cahhay usse over-trading ka masla ho ya na ho. Trading plan ka honna trading k ammal main order aur structure faraham kartta hai aur traders ko appne decision k barre main ziadda ba-shawoor bannata hai. Trading plann aik trader ko din main muaqarrara strategy k mutabiq uss ki rahnumaye kartta hai, jiss se trader apnne jazzbat aur lalach par kaffi had tak qabbo pa saktta hai.
    Trading plan k kamyabbi k leye sab se zarrori cheez uss k leye aik sakht discipline hai, jo trading plan par ammal karnne k leye kar-amad hotta hai. Sakht discipline humen over-trading se bachne main kaffi had tak maddad detta hai.

    2. Limit Your Daily base Trading


    Forex trading ka aamal pora din yanni 24 hours jarri rehta hai, jo forex trading ki khubi bhi hai aur aik qisam ka nuqsan bhi hai. Iss waja se koshash karen k pora din trading na karn aur appni trading ko mehddod karen. Yanni jab bhi trading main achah moqqa hasel ho jayen to uss waqat trading se faida hasil karen, basorat deggar trading se parhez karen. Trading k ammla main zarrar aik baar aisa hotta hai, jo hum downside ya up side par limit order laggate hen wo hamari trades lazzmi hit ho jatte hen, jiss se kafi munafa melta hai.

    3. Daily Base par Trading ko mehdod karen


    Aik hotta hai, pora din trading karnna aur dosra hotta hai bohut ziadda trading, ye donno amal bohut ziadda khatarnak hai. Daily base par trading mehdod karen, takeh jo hamara matloba target ho wo pra honne k baad mazeed trading se gurrez karen. Trading plan dar asal hotta iss leye hai k jab bhi apnna target hasil ho jaye to uss ka baad trading ko agle din k leye chor den, kam munafa loss se bohut behtar hai.

    4. Loss ki sorat main Trading se Waqfa karen


    Forex trading main zarrori nahi hai, k har waqqat trades munafa main hi ho, loss bhi trading ka aik hissa hai. Aksar over trading humen loss ki sorat main bhi hotta hai, jiss se hamara loss mazzeed barhta hi jatta hai. Aksar trading k dowran kisi currency par laggaye gaye trade k loss main janne k baad hum uss ki wapasi ummeed kartte hen, aur sath sath loss ko kam karnne k chakar main uss currency pair par mazzeed trades open kartte hen, jiss se hamara loss hamare account k wash honne ka sabbab bantte hen. Trades ko loss k baad jab hum thora waqfa lengay to uss k baad aap naye fresh mind k sath trading shoro kar sakte hen.

    5. Take profit and Stop loss ka Estemal


    Forex trading ka sab se aham aur zarrori hissa hai, jo k har aik trade ka aik lazzmi hissa hai. Take profit aur stop loss risk-reward ratio aur trading plan k mutabiq set karen. Jitna app daily k hissab se risk bardasht kartte hen, uss k mutabiq profit k leye bhi apnna haddaf banayen. Stop loss account ko wash se bachata hai, jab k take profit matloba haddaf pora honne k baad humen munafa mel jatta hai.

اب آن لائن

Working...
X