What is CFD (contract for difference)?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is CFD (contract for difference)?
    What is CFD (contract for difference)?

    Dear my friends CFD (contract for difference) aik kisam ka contract hota hai kisi idara jo apna share, stocks ya dosre ashia ka dosre parties k sath, buy aur sell k duran karti hai. Is me trading k ihtetam pe dono parties apne apne stocks k difference ko define karti hia aur us ka tabadela karti hai, CFD me aam tawar par currencies exchange, stocks aur commodities waghera shamil hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	hgjhjh.jpg
Views:	2
Size:	5.9 کلوبائٹ
ID:	12577401
    Advantages and Disadvantages of CFD (contract for difference):

    Advantages:

    Mere pyare dosto CFD ya ni contract for difference me app ko apne margin k hisab se trading kar sakte hen. Is me ap stocks ya dosri ashia ko la kar hold kar sakte hen k us ki qeematen ziada ho sakti hen. Kam qeemati pe hum apni chezen bejh sakte hen. CFDs ka kuch countries me bohut benifits hote hen jese UK me is me koi tax pay nahi kia jata hai( Lekin ye bhi halat pe depend karta hai). CFD trading me hamen koi pori units nahi khareedni parti bulke hamen apne kaam k lehaz se hi aur account me mojood balance k lehaz se hi cheezen buy aur sell karni parti hai. Is me koi physically delivery nahi hoti bas stock ko hum ghar se hi buy aur sell kar sakte hen. CFD me ye nahi hai k hamare pas lazmi utni raqam maojood ho jitne ka stock ho bulke humen brokers apne leverage ko barah deta hai. hamen aik makhsos ammount k sath is me kaam karne ko kehta hai.

    Disadvantages:

    Dear my siblings CFDs bohut riski hai aur is me jo margin deya jata hai agar hum wo loss kar dete hen to hamen pore account se hath dhona parta hai. Kuch mumalik jese America me ye kaam nahi kar sakte q k is me item ki physically availability nahi hoti hai is waja se wahan pe is pe pabandi hai. Hamen is me agar apne brokers se udhar lena par jaye aur loss ho jaye to hamen aik to loss ko bhi pora karna hota hia aur dosra hamen us pe daily base pe itrust bhi dena hota hai. Is waja se muhtat kaam karen.

    Important information of CFD (contract for difference):

    Dear my sisters Difference ki ratio sy profit or loss ko calculate kiya jata hai. Es trading type ma trader market ma pairs or commodities ko buy or sell karta hai. But es buying or selling k lae physically trader k pass kio pair ya commodity ni hoti. Jo trader forex ma small lot sy trade karta hai wo hamesa kamyab hota hai. Cfd type trading k lae trader k pass acha capital b hona bhot zaruri hai. Agr trader k pass experience ni ho ga to wo kbi acha profit b hasil ni kar saky ga. Trading ma trader ko experience b tb hota hai jb wo market ma maximum time spend karta hai.

    Click image for larger version

Name:	jghjhgj.jpg
Views:	5
Size:	5.4 کلوبائٹ
ID:	12577402

اب آن لائن

Working...
X