Bearish Harami Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Harami Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Harami Candlestick Pattern


    Bearish harami candlestick pattern main stock ya assets ki prices same barqarar nahi rehti hai. Jab bhi supply ya demand main kami beshi hoti hai, to stock ki prices par bhi uss ka impact parta hai. Supply main izzafay se hamesha assets ki qeematen gerti hai, jab k demand main izzafay se qeematen main izzafa hota hai. Supply aur demand ka ye sisela chalta rehta hai, jiss se assets ki prices bhi up and down hoti rehti hai. Forex trading main supply aur demand ka andaza humen price chart par candles ki pattern ki shape main melta hai, jiss main long real body wali candles humesha aik strong indication dete hen. Jab bhi kisi assets ki stock main bohut ziada izzafa waqea hota hai, to uss waqat demand main kami k chances ziada ho jate hen. Aksar kuch candlestick pattern jaise bearish harami pattern main dosri bearish candle hoti hai, jo bohut ziada strong reaction dete howe prices ko mazeed upward jane nahi deti hai, aur ye pattern trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (174).jpeg
Views:	10
Size:	21.7 کلوبائٹ
ID:	12577340

    Candles Formation


    Bearish harami candlestick pattern prices chart par do candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jo k high prices ya uptrend main banta hai, jahan se prices k downtrend main badalne k chances hote hen. Pattern strong bearish signlas deta hai, q k dosri bearish candle pehli candle andar banti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (307).png
Views:	8
Size:	4.9 کلوبائٹ
ID:	12577341

    1. First Candle: Bearish harami candlestick pattern ki pehli candle bullish trend k mutabiq hoti hai, q k ye bullish trend main akhari candle hoti hai, iss waja se ye aik real body wali white candle hoti hai. Ye candle upper side par close hoti hai, jiss ka close price open price se ooper hota hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.

    2. Second Candle: Bearish harami candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali bearish candle hoti hai, jo k market main low demand ki waja se banti hai. Ye candle pehli candle k real body main open ho kar ussi k real body k andar close bhi hoti hai. Bearish candle bhi shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai, lekin real body main pehli candle se kam honi chaheye, jiss se ye candle pehli candle ko andar banti hai.

    Explanation

    Bearish harami candlestick pattern candles k opposite direction main same aik bullish engulfing candlestick pattern jaisa dekhaye deta hai. Ye pattern prices k top ya bullish trend main banne par bearish trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices main bullish trend continuation ka kaam karti hai, lekin ye candle pattern ki last candle hoti hai, q k iss baad pattern ki dosri candle aik small real body wali bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k andar open ho kar ussi k real body main close bhi hoti hai. Dosri candle ka lazmi small real body main honi chaheye, warna doji candle ki sorat main ye aik bearish doji-star candle banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (306).png
Views:	11
Size:	9.0 کلوبائٹ
ID:	12577339

    Trading

    Bearish harami trend reversal pattern asal main aik single candle pattern hai, q k pehli candle to normal bullish trend k mutabiq hoti hai, lekin dosri candle small real body aur pehli candle k real body k inside ban jati hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai. Pattern par trading se pehli prices ka top area ya bullish trend main lazmi honi chaheye, jab k pattern k baad aik confirmation candle ki bhi zarrorat hoti hai. Confirmation candle aik to bearish candle honi chaheye aur dosra ye candle dosri bearish candle k bottom par close honi chaheye, jo k real body main hoti hai. CCI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main honi chaheye, jab k pattern ka Stop Loss sab se upper position ya pehli candle k close price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (308).png
Views:	5
Size:	28.3 کلوبائٹ
ID:	12577338

اب آن لائن

Working...
X