Entry and exit strategies for pin bar candlestick plan....
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Entry and exit strategies for pin bar candlestick plan....
    Pin Bar entry strategy:



    Dear friends!
    Forex market chart pay trading kartay huway traders market ko ziada say ziada achay tareekay aur strategies k sath analysis karnay k baad agar risk laitay hain to yeh unk liye bahut ziada faidamand bhi hota hai aur loss ko kam karnay ka bhi is main bahut barra solution hota hai. Pin bar trading strategy k sath trading karnay ki 2 common types hoty hain, dono k he traders ko advantages tab hasil hotay hain jab traders ka knowledge perfect hoga aur sath market ki conditions theek honge. Agar traders market price ki rejection ko calculate kartay huway pin baar ki decline area say entry ko pick karta hai to usay acha profit hoga jis main kam say kam risk aur acha reward shamil hoga, jiska aik idea aap neechay screenshot main market chart say hasil kar saktay hain.





    Agar traders ooper k chart k hisaaab say market main pin baar ki strategy k sath hasil kartay hain to unk liye yeh zaida faidamand hoga jis say kam say kam loss aur acha rewrd hasil honay ki umeed hai.


    Enter a 50% pin bar callback:


    Dear!
    Pin baar trading startegy k sath trading karnay ka yeh aik favorit tareeka hai jis main agar price reverse bhi hoty hai to traders ko ziada risk k sath ziada loss nai hoga aur usk baad agar price confirm hoty hai to ham baaki ka 50% aur bhi risk laitay huway apni trades ko secure kartay huway market say acha reward hasil karnay main success ho saktay hain.
    Jab traders market chart pay 50% risk retracement entry laitay hain to unko unk account balance ka knowledge aur risk reward ko kabhi bhi forget nai hona chaye. 50% entry for callback k liye aap neechay prrof k sath aik piture daikh saktay hain jis say aik perfect idea bhi hasil hoga aur sath sath ham market main lainay walay risk aur reward ka bhi ratio daikh saktay hain.
    50% entry trading strategy k liye traders fibonacci retracement k tools ko bhi follow kartay huway acha result hasil kar saktay hain.




    Pin Bar Exit Plans:


    Dear friends!
    Forex market main koi bhi aisa knowledge, strategy, trick kabhi bhi aisa nai ho sakty hai jisay koi professional ya beginner traders 100% accurate keh sakta ho. Pin bar trading strategy main bhi kuch aisay ho sakta hai k ham apni trades ko baghair achay profit hasil kiye closed ya cut karnay ka soch saktay hain, is liye pin baar exit plans k liye bhi ham aaj is topic ki help say discuss kartay hain jo k darj zail hain jinko 2 topic main devides kiya gaya hai.
    1. exit with loss.
    2 exit with profit.
    Agar market chart pay price pin baar say rejection hasil kartay huway reverse hoty hai to traders k liye yeh zaruri hai k wo is trading strategy ko follow kartay huway market main apnay orders ko closed kar dain aur market say out ho jayen wo is liye k price rejection k baad again revers hotay huway movements start kar rahi hai jiska mean hai k price ki mazeed movements k chances hain.
    Agar market chart pay price pin baar trading startegy k sath price ko confirm karty hain to hamaray paas 2 options hain aik hamain wait kartay huway long-term profit hasil karna chaye 2nd ham kuch profit hasil honay k baad apnay orders ko cut kartay huway apnay profit save kar saktay hain.


    How to set a stop loss on a pin:


    Market chart pay stop loss take profit say bhi ziada aehmiat hasil karta hai wo is liye k agar ham chart pay order execut karnay k baad take profit nai bhi set kartay hain to ham apnay order ko baad main cut kar saktay hain laikin agar ham stop loss use nai kartay hain to market ki fast movements say hamaray account bhi washed ho sakta hain.
    Pin baar trading startegy main ham pin baar ki tail k ooper kuch pips apnay stop loss ko set kartay hain jis ay agar price again retracement k liye revers bhi hoty hai to ham secure tareekay say market main trading kar saktay hain, jiska aik result ap neechay screenshot main bhi daikh kar idea hasil kar saktay hain.


    ......Forum is a great place for traders talk.......

اب آن لائن

Working...
X