Stalled Bearish Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Stalled Bearish Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Stalled Candlestick Pattern


    Stalled candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo prices k top par ya ziada buying k baad market main buyers k control ki kamzori ko zahir kia jata hai. Ye pattern teen bullish ya white candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli, dosri aur teesri teeno candles bullish candles hoti hai. Ye candles lagatar higher high par close hoti hai. Pattern ki pehli aur dosri candles strong bullish candles hoti hai, jab k teesri candle aik small real body wali ya Spinning top bullish candle hoti hai. Spinning top candle dosri candle k qareeb ya gap dono tarah se ho sakti hai, jo k top trend ko mazeed bullish jane main rukawat banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (148).jpeg
Views:	1
Size:	13.8 کلوبائٹ
ID:	12577113

    Candles Formation


    Stalled candlestick pattern main shamil teeno candles ka bullish hone k bawajood bhi ye pattern aik bearish trend reversal pattern hai. Ye pattern prices k top par banta hai, jiss se prices teezi k sath bearish jati hai. Pattern k teeno bullish candles ki formation darjazel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	images (254).png
Views:	24
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12577112

    1. First Candle: Stalled candlestick pattern ki pehli candle aik strong ya long real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bullish trend ki mazboti dekhati hai. Ye candle shadow samet ya bagher upper aur lower shadow ki bhi ho sakti hai.

    2. Second Candle: Stalled candlestick pattern main shamil dosri candle bhi pehli candle ki trah same bullish candle hoti hai, jiss ka upper aur lower side par ziada tar koi wick ya shadow nahi hota hai, lekin small si wick ho sakti hai. Ye candle pehli candle k barabar ho sakti hai. Ye candle bhi white ya green color main hoti hai, jo pehli candle k top par close hoti hai.

    3. Third Candle: Stalled candlestick pattern main teesri candle same white ya green color wali candle hoti hai, lekin ye candle aik small real body wali hoti hai. Ziada tar ye candle aik Spinning top candle hoti hai, jo k dosri candle se gap main ya uss k qareeb top par banti hai. Ye candle strong body main na hone ki waja se trend reversal ka sabab banti hai.

    Explanation

    Stalled candlestick pattern aghaz main strong buyers pressure ki waja se banta hai, jiss main shamil teeno candles bullish hoti hai. Pattern ki pehli aur dosri candles ziada tar bagher wick ya shadow ki hoti hai, lekin teesri candle small size main bullish Spinning top candle hoti hai. Stalled candlestick pattern prices k top par ya bullish trend main banne k baad prices ko teezi k sath downward ki taraf pressurized karti hai. Iss pattern main pehli aur dosri candles teesri candle ki nisbat real body main bari hoti hai. Pattern k aghaz main prices teezi k sath bullish move karti hai, lekin baad main buyers ki adam dilchaspi ki waja se pattern k top par aik Spinning top candle banti hai, jo k prices ko mazeed bullish jane se rokhti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (253).png
Views:	15
Size:	9.5 کلوبائٹ
ID:	12577111

    Trading

    Stalled candlestick pattern teen bullish candles hone k bawajood bhi bearish trend reversal pattern hai, jiss par traders market main sell ki entry kar sakte hen. Pattern k baad confirmation candle ka hona zarori hai, jo k indicator se bhi asani se trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bearish real body main hona chaheye, jab k CCI oscillator aur Stochastics oscillator main value overbought zone main hon to uss waqat ye pattern ziada payedar k sell k signals de sakta hai. Pattern k baad white candles banne se iss k asarat mutasir ho sakte hen. Stop Loss pattern k sab se top side ya teesri candle k high se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (149).jpeg
Views:	2
Size:	16.9 کلوبائٹ
ID:	12577110

اب آن لائن

Working...
X