Bullish Harami Candlestick Pattern" in forex trading...
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Harami Candlestick Pattern" in forex trading...
    Explanation :

    Bullish Harami Candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se prices ko mazeed bottom jane se rokti hai. Ye pattern same to same dekhne main aik "Homing Pigeon Candlestick Pattern" ki tarah hota hai, lekin dosri candle ki real body white candle banti hai. Bullish harami pattern ki dosri candle aik small real body wali hoti hai jo k pehli candle ki real body main open aur close dono hoti hai. Candle k open aur close same point par nahi hona chaheye, q k iss se ye pattern "Bullish Harami Cross Pattern" main badal sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	bullishharami1.png
Views:	3
Size:	11.9 کلوبائٹ
ID:	12574354

    Bullish Harami Candlestick Pattern:

    Bullish Harami Candlestick pattern aapko market reversal ke bare mein batata hai matlab isase pahle market bearish trend mein honi chahie aur aapke pass musalsal market gir rahi ho aur isase pahle aapki last candle ek behtarin Marbuzo candle honi chahie jisse aapko lagna chahie ki yahan se market ab aur niche jayegi.lekin agar iske bad aapke pass ek small body candlestick banti hai jo ki police hai to aapko samajh Jana chahie ki yahan se bullishharami patent ki start ho gai hai aur yahan se aap aap by karke acche se accha profit Kama sakte hain yad rakhen jab bhi aapko confirmation Na Mile ki yah ek bullishharamipattern ban raha hai aap kabhi bhi by na Karen kyunki market musalsal gir Rahi hoti hai aur chances yahi hote Hain ki iske bad bhi market niche ki taraf hi jayegi isiliye vate Karen aur confirmation ke bad hi market mein khush hain aur acche se accha profit kamaye. bullish Harami crow candlestick pattern prices ke bottom per banne wala x stone 2 days candidate pattern hai jo ki prices trend reversal Mein change karta hai Bulleh Harami pattern Mein Shamil first candle is real body wali Barish scandal hoti hai jo ki price ke bottom friend ki majbuti ki alamat hoti hai Jab Ke second candle Ek small hoti hai jo open close first candle ki real body Mein hoti hai jo open ki dusre candle ki first day ki candle honi chahie aur uski real body Mein banne chahie aur second Li Tu days ke andar pattern ki taraf Bulleh Shramik candle pattern Bittu days candle from Mr hota hai Jisne first kind of marriage day second calendar police hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	bullish-harami-candlestick-pattern-1.png
Views:	1
Size:	7.7 کلوبائٹ
ID:	12574358


    Trading in Bullish harami candlestick pattern:


    Bullish harami candlestick pattern trend reversal ka pattern hai, jiss se market main buy ki entry karte hen. Pattern k bottom par buyers ziada active ho jate hen. Trend reversal pattern par trading trend continuation patterns ki nisbat ziada riski hoti hai, iss waja se pattern par trading se pehle market main aik bullish ya white candle ka hona zarori hai. Jiss ki real body honi chaheye, jiss main open aur close same point par na ho. Agar pattern k baad bearish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par entry nahi karni chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya pehli candle k close point se two pips below select karen.
    Click image for larger version

Name:	images (472).png
Views:	46
Size:	18.2 کلوبائٹ
ID:	12574356
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bullish Harami Candlestick Pattern&quot; in forex trading...

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Harami Pattern


    Bullish harami candlestick pattern assets ki iss baat ki taraf ishara karti hai, k ab market main sellers ka control buyers k hathon muntaqil hone wala hai. Pattern main shamil candlestick aghaz main aik bari bearish candle hoti hai, jo k downtrend ki mazboti ki alamat hoti hai. Lekin dosri candle size main small hone aur pehli candle k darmeyan main banne par ye prices ko mazeed downward jane main rukawat dalti hai. Pattern low price area main uss waqat banta hai, jahan par assets ki demand ziada ho chuki hoti hai aur supply kam increase howi hoti hai. Demand ki increasing ki waja se assets ki value main izzafa hota hai, jiss se prices bhi bharna shoro karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (47).jpeg
Views:	29
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12441825

    Candles Formation


    Bullish harami candlestick pattern prices k bottom par banne ki waja se aik strong bullish trend ki indication deta hai, jo k do candle ka aik simple sa pattern hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	03.jpg
Views:	1
Size:	30.9 کلوبائٹ
ID:	12441826

    1. First Candle: Bullish harami candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka color bhi bearish pattern k mutabiq black ya red hota hai. Ye candle prices k bottom ya low price main bearish trend ka mazeed izzafe ki koshash hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish harami candlestick pattern main shamil dosri candle aik small real body wali hoti hai, jiss ka open aur close same point par nahi hona chaheye. Ye candle aik bullish trend wali banti hai, jiss ka color white ya green hota hai. Ye candle pehli candle k andar banti hai.


    Explanation

    Kisi bhi assets ki value bohut ziada low hone par aksar usko trend reversal ka samna karna parta hai, issi tarah same bullish harami candlestick pattern main bhi hota hai, jiss main prices low area ya bearish trend k baad bullish trend reversal main tabdeel hoti hai. Bullish harami candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss k real body lazmi hoti hai aur iss candle ka open close se ooper hota hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka open, close, high aur low sabhi points pehli candle k open close k darmeyan main hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-01-17T210301.253.png
Views:	5
Size:	9.0 کلوبائٹ
ID:	12441824

    Trading

    Bullish harami candlestick pattern trading k leye aik moasar candlestick pattern hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Trade k enter karne se pehle market ka low price area ya bearish trend main hona zarori hai, jab k small bullish candle k baad aik trend confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle ka bullish hona lazmi hai, jo dosri candle k top par close honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya pehli bearish candle k low price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-01-17T210222.951.png
Views:	24
Size:	12.3 کلوبائٹ
ID:	12441823

    اب آن لائن

    Working...
    X