Working method and trading technique of Bull and Bear Power Oscillator
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Working method and trading technique of Bull and Bear Power Oscillator
    Dear friends, forex market main bulls aur bear power oscillator ko Alexander Elder na develop kia tha, ye market main bulls aur bears kay darmian strength ko janchta hay, iski help say hamain ye pata chal jata hai market k current trend ma kitni strength hai ya ye trend Kitna long lasting hay kitni dair chalay ga, ye highest price aur 13 period EMA kay darmian difference ko measure karta hay jo histogram ki surat main plot kia jata hay,

    Working of this oscillator:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220118_0951440.jpg
Views:	2
Size:	21.6 کلوبائٹ
ID:	12573881

    Click image for larger version

Name:	images (1) - 2022-01-17T212810.689.png
Views:	8
Size:	21.8 کلوبائٹ
ID:	12573882

    indicator ki value 0 to 100 kay between move karti rehti ha, jab iski value 20 say below aa jae to trader ko is say ye signal milta hai k market ka trend weak ho arha ha, isi tarha jab is indicator ki value 50 say barh jay to iska matlab ye hota hai kay market ka trend mazeed strong ho raha ha, Stochastic indicator ki tarha ye indicator market ki bullish aur bearish state kay baray main signal nahi daita, bull power indicator zero sa above hota hay to iska matlab ye hota hay kay buyers perticular pair ki prices ko EMA sa above rakhnay main kamyab ho rahay hain, aur ye positive signal ko indicate karta hay jis sa buy signal generate hotay hain, jab bull power indicator zero sa below hota hay to ye is baat ko denote karta hay kay sellers prices ko EMA sa below lanay main kamyab huay hain aur ye negative signals faraham karta hay,

    How to calculate bull and bear power:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220118_0951442.jpg
Views:	4
Size:	12.6 کلوبائٹ
ID:	12573884

    Bull power calculate karnay kay liay bullish strength wali high price main sa EMA ko subtract kar lia jata hay, jo ye formula banta hay

    Bulls power = High - EMA

    isi tarah bear power ki calculation kay liay perticular period main lowest price main sa EMA ko subtract kar lia jata hay, jis ka formula ye banta hay

    Bear power = Low - EMA

    yahan par EMA sa murad 13 period Exponential Moving Average hay, Bull aur bear power kay darmian divergence best trading oppertunity faraham karti hay, is indicator ko trend indicator kay sath combinely use kia jata hay,


    Trade on bull and bear power:


    Click image for larger version

Name:	images - 2022-01-17T212847.851.jpeg
Views:	3
Size:	33.5 کلوبائٹ
ID:	12573885

    ye indicator hamain sirf trend ki strength ka batata hay jab keh hamain is main kisi kisam ki reversal ki indication nai milti, albata ham iskay sath kisi aur indicator ka use kar kay behtar trading signal laity hue achi trading karty hain, is main jab bulls strength gain kar laitay hain to prices rise karti hain aur moving average ki slope upward hoti hay aur bears ki strength gain karnay ki surat main moving average ki slope downward hoti hay,

اب آن لائن

Working...
X