Guidelines and use of Envelope Indicator.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Guidelines and use of Envelope Indicator.
    Aslam o alaikum. Dear members umeed karta hun k ap sab kheriat sey houn gey aur forex par achi learning hasil kar rahy houn gey. Dear members aj mein ap sab k sath aik boht he important topic discuss karun ga. Yeh pattern aik achi trading k liye boht he important pattern hai. Yeh pattern hamen trading mein boht madad faraham karta hai. Is pattern k zariye hum market ko achi tarah analysis kar sakty hein.


    * What is Envelope Indicator ?

    Dear members yeh aik technical indicator hai jo price chart par plot kea jata hai. Is ki aik low boundary hoti hai jo moving average in wealth hai. Is pattern mein two moving average hein jo low level range ka btati hein. Mostly traders in dono situation ka pata lagany k liye and price range ko jari karny k liye is indicator ka istemal karty hein.

    Yeh indicator aik tool hai jo trading range k upper and lower band ko shanakhat karta hai. Yeh price chart par two moving average envelope ko plot kar k hota hai. Yeh certain distance tak price k upper shift hota hai and second nechy shift hota hai.


    * Explanation of Envelope Indicator:

    Dear members yeh indicator hamary instrument choice par trading band ko price level k upper and nechy rakh kar kam karta hai. Is ki basic yeh hai k ye pehly price ki moving average lein jo normally simple moving average hoti hai. Is mein hum apna upper envelope is SMA price k oper aik special distance tak shift kar k create kar sakty hein.

    * Jab price upper bound tak pounch jati hai tou security ko overbought kea jata hai aur aik sell signal generate hota hai.
    * Trader is indicator ko aik technical tool k tor par use karty hein and for detection of overbought and oversold condition k liye istemal karty hein.
    * Moving average ki direction envelopes ki direction develop karti hai. Jab bhi envelope upper ki taraf move karti hai tou price bhi uptrend mein move karti hai. Jab price nechy ki taraf move karti hai tou tou wo bhi downtrend move karti hai. Jab envelope sideway moves karti hein tou prices na he uptrend hoti hai and na he downward.


    * Conclusion of Envelope Indicator:

    Dear forex members yeh indicator aik boht he famous indicator hai. Mostly expert traders jab market ki situation sey confuse hoty hein tou price chart par is pattern ko draw kar k sary halat ka jaiza lety hein. Yeh pattern aik boht he helpful pattern hai. Yeh indicator ya tou upward move karta hai aur ya phr downward. Jis side par yeh pattern move kary then usi side ka hojata hai. Is liye yeh indicator bht zada useful hai. Umeed karta hun k ap sab ko yeh pattern easily samjh aya hoga and ap sab is par lazmi working karen ta k jab bhi market ki situation samjh nae aye tou is envelope ki madad sey acha analysis kar saken.

اب آن لائن

Working...
X