Bearish Harami Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Harami Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Harami Pattern


    Bearish harami candlestick pattern assets ki iss baat ki taraf ishara karti hai, k ab market main buyers ka control hone wala hai. Pattern main shamil candlestick aghaz main aik bari bullish candle hoti hai, jo k uptrend ki mazboti ki alamat hoti hai. Lekin dosri candle size main small hone aur pehli candle k darmeyan main banne par ye prices ko mazeed upward jane main rukawat dalti hai. Pattern high price area main uss waqat banta hai, jahan par assets ki demand kam ho chuki hoti hai aur supply bohut ziada increase howi hoti hai. Demand ki kami ki waja se assets ki value main decreasing ki waja se prices bhi gerna shoro karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (168).png
Views:	9
Size:	5.1 کلوبائٹ
ID:	12572072

    Candles Formation


    Bearish harami candlestick pattern prices k top par banne ki waja se aik strong bearish teend ki indication deta hai, jo k do candle ka aik sada sa pattern hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (170).png
Views:	8
Size:	4.9 کلوبائٹ
ID:	12572073

    1. First Candle: Bearish harami candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka color bhi bullish pattern k mutabiq white ya green hoti hai. Ye candle prices k top ya high price main bullish trend ka mazeed izzafe ki koshash hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish harami candlestick pattern main shamil dosri candle aik small real body wali hoti hai, jiss ka open aur close same point par nahi hona chaheye. Ye candle aik bearish trend wali banti hai, jiss ka color black ya red hota hai. Ye candle pehli candle k andar banti hai.


    Explanation

    Kisi bhi assets ki vlaue bohut ziada high hone par aksar usko trend reversal ka samna karna parta hai, issi tarah same bearish harami candlestick pattern main bhi hota hai, jiss main prices high area ya bullish trend k baad bearish trend reversal main tabdeel hoti hai. Bearish harami candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss k real body lazmi hoti hai aur iss candle ka open close se nechay hota hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka open, close, high aur low sabhi points pehli candle k open close k darmeyan main hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (169).png
Views:	11
Size:	9.0 کلوبائٹ
ID:	12572071

    Trading

    Bearish harami candlestick pattern trading k leye aik moasar candlestick pattern hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Trade k enter karne se pehle market ka high price area ya bullish trend main hona zarori hai, jab k small bearish candle k baad aik trend confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle ka bearish hona lazmi hai, jo dosri candle k bottom par close honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main hona chaheye. Stop Loss pattern knsab se top position ya pehli bullish candle k high price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (105).jpeg
Views:	21
Size:	26.4 کلوبائٹ
ID:	12572070

اب آن لائن

Working...
X