INTRODUCTION:ASLAMUALIKUM DEAR FRIENDS!Dear friends kese hn ap umeed krta hun ap sb khariat se hun ge or apni mehnat se trading kr rhe hn ge dear friends aj ka hmara topic hr risk to reward ratio in trad6 aj mn ap ko is topic k mutalik apna knowledge share krna chahta hun.RISK AND REWARD IN TRADING:Jab ham forex market main kuch amount invest kerty hain tou yahan per hamain trade kerni hoti hai jis per hamara sara account balance aik hi trade main khatam bhi ho sakta hai isliya forex market main trading ky liay invest ki jany wali amount per ham bahot bara risk lety hain ky agar same amount per open ki jany wali trades profit main chalti rehain tou hamara balance secure rehta hai lekin agar market hamari open trade ky against movement kerna shoru ker deti hai tou hamara account aik hi open trade main wash bhi ho sakta hai ham jis terha kisi business main kuch amount invest kerty hain tou same investment per hamain loss nehi hota profit hota hai agar business bahot zyada profitable ho tou bara profit hasil ho jata hai aur agar business aesa ho jis main profit kam hota hai tou hamain same investment per profit bhi kam hi hasil hota hai LOW RISK TRADING :Small level per risk leny ka bahot bara advantage yeh hota hai ky agar hamain open trade main loss bhi ho jata hai tou ham next trades main loss ko asani ky sath recover ker lety hain jabky further trading main hamain profit bhi hasil ho jata hai jabky bary risk main account wash ky bahd recovery ka koi chance nehi hota so hamesha trade open kerny sy pehly hamain jo lot size set kerni hoti hai woh minimum level per set kerni chahiya ky agar loss hota bhi hai tou usko asani sy recover kia ja saky lehaza hamain aesy pairs main trade kerni chahiay jin main market ki movement slow hoti hai aur lot size isterha sy set ki jaey ky agar market hamari open trade ky against bhi move kerti hai tou support ya resistance tak market ki movement per hamara account safe rehy tou jab market support ya resistance sy reverse hoti hai tou hamara loss khatam hony ky bahd profit bhi hasil hona shoru ho jata hai HIGH RISK TRADING:Jab ham market main trade open kerty hain tou hamari same trade main ham jo lot size set kerty hain wohi hamary risk ka level hota hai ky agar ham small balance per trade kerty huey bari lot size set ker ky trade open kerty hain tou same risk hamari investment per bahot bara risk hota hai aur bary risk ka hamain faida jab hota hai tou bahot achi earning hasil ho jati hai jabky agar hamain bara risk leny per market hamari open trade ky against movement kerna shoru ker deti hai tou bari lot sy trade open hony ki waja sy kuch pips ka loss bhi bahot bara loss hota hai hamain risk level per hony waly loss ko mind main rakhna chahiay ky agar hamain acha profit hasil ho jata hai tou ham trade close ker ky profit ko withdraw kerwa lety hain jabky bary risk per hamain loss hota hai tou same loss ki waja sy hamara account wash ho jata hai aur hamain trading ky liay dobara investment kerna perti haiMERITS AND DEMERITS OF RISK:Forex trading ky liay risk bahot hi important facotr hai ky jab tak ham forex market main risk nehi lety beshak ham bari investment bhi ker lety hain tab bhi hamain koi profit nehi hota ky hamain forex market main ki hui investment sy profit hasil kerny ky liay risk lena hi perta hai jabky agar ham small balance per trade kerty huey bara risk ly lety hain tou market ka pata nehi chalta kabhi bhi kisi bhi direction main bahot bari movement kerny per hamara account wash ho sakta hai so hamain forex trading main risk soch samajh ker lena chahiay ky agar loss hota hai tou woh itna zyada na ho jabky bahot bari investment per risk bahot kam bhi nehi hona chahiay ky long time period ky liay trade kerny per bhi agar acha profit hasil nehi hota tou investment ka faida nehi hai hamain apni investment ky mutabiq achi calculation ker ky market main risk lena chahiya ky hamara capital bhi secure rehy aur hamain acha profit bhi hasil ho jaey.TRADING:Dear friends trading krne k lie us k analysis k pta ho to trading nn asani hoti he.trading k lie zruri he k planning kro jis se trading asan ho jati he is k elawa us topic k bare mn mukamal information or knowledge hona chahiye.