How to Limit Order Market Order Aur Stop Order Mein Farak ,
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to Limit Order Market Order Aur Stop Order Mein Farak ,
    Aslam O Alikum


    Introduction


    I hope all friends fine main ummid karta hun aap AP sab dost khairiyat se honge aur apna Kam samajhdari ke sath complete kar rahe honge ,,

    Limit Order Market Order Aur Stop Order Mein Farak ,


    Jesy jesy aapka experience forex trading mein zaida hora hae aap ka knowledge bhe ssath sath zaida hota jata hae. Lekin channd aisi cheezin hoti hein kay jinko seekhna zaroori hotAa hay aur wo cheezin directly aapky account par asar-andaazz hote hain. Aur en cheezon mein aik cheez order hai. Market mein order kiya hay aur kis time aapne kon sa order lagaya hay ye aapko pata hona chahey. Order lagaany ka mukhtalif tareeka hota hay aur har tareeky ka apna faida aur nuqsaan hay ho sakta hai. Lekin aap ko agar generally saari information hay to aap apny order ko zaida productive bana sakety hain.
    Click image for larger version

Name:	images (46).png
Views:	6
Size:	19.0 کلوبائٹ
ID:	12570287

    Market Order Kya Hai ,


    Yeh sab sey zaidaa famous aur mostly use kiey jaany wali order ke type market order hai. Jab koi trader apna order submitt karwaata hay to ess ka matlab hota ha kay market ke jo currently price chal rahi hay uss price pey market sy jitna aapne currency ko buy ya sell kiya hay wo order foran laga diya jaata hai. Lekin yeh bat mind mein rakhhna chahy kay market mein price bahut jaldi oper neechy hoti hay jiss ke wajha sy aapko shyed wo price naa mily jo aap lagana chah ry hain.

    Click image for larger version

Name:	images (51).jpeg
Views:	5
Size:	30.6 کلوبائٹ
ID:	12570288

    Market Order Ke Misaal ,,

    Faraz karin aap nay EUR/USD pair perr trade lagaani hay to aap dekhtey hein kay markeet ke price 1.1750 chal rahi hay our aap apny broker pey order karty hain kay aapka 10000 units ka order execute kar day. Lekin jab aap order lagaty hain to ho sakta hay kay aapka order lagaaty lagaaty market ke price 1.1760 ho jaay to aapko us price pe 10 hazar units mily gai to es ka ye eik nuqsaan hota hai. Lekin es cheez sy bachney kay liey aapko next order ke type madad deti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (52).jpeg
Views:	2
Size:	36.4 کلوبائٹ
ID:	12570289

    Limit Order Kya Hae ,,


    Order ke pehhli type market order key baad limit orders ka istemaal sab sey zaida kiyaa jaata hae. Limit order mein market order ke tarha current price per order execute nahi hotaa balkay aap apni matzi ke price set karty hain to jab market uss price par jaaati hay too aapka order execute hota hai. Es sy aap best possible matket price mein apni marzi ke entry lagaa saktey hein.
    Click image for larger version

Name:	images (47).png
Views:	14
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12570290

    Limit Order Ke Misaal ,,

    Limit order ko samjhney kay liey bhe humm EUR/USD key pair ke misaal ka istemaal karin gey our farz karin kay markeet ke price 1.1750 chal rahi hai. Lekin aap chahty hain kay aapka matket mein 10,000 untis ka order 1.1725 ke price sy lagy to aap limit order ka istemaal kar kay buy limit laga kar rakh sakte hain our jab market aapki de hui price par aay ge to aapka order lag jaata hai. Limit orders support aur resistance par bahut zaida kamyaab rehty hain.

    Stop Order Kya Hae


    Stop order our limit order mein itna zaida farak nahi hai. Stop order mein yeh hota hae kay agar buy ka order lagaty hain to market mein current price kay neechy sy buy ke bajay aap oper wali price pe order set karte hain. Aur limit mein ye hota tha kay aap current market price sy neechy buy aur oper sell ka order lagaty thy. Chalin es kay liey aapko aik misaal sy samjhany ke koshish karte hain.

    Click image for larger version

Name:	images (53).jpeg
Views:	22
Size:	49.4 کلوبائٹ
ID:	12570291

    Stop Order Ke Misaal ,

    EUR/USD waly pair ko phir aik baar misaal mein shamil karte hae aur wohi same market price yani kay 1.1750 chal rahi hai. Ab aapne aggar 1.1780 sy buy karney kay liey order lagana hay to aap stop order ka istemaal kar kay ye order laga sakte hain. Ye order aap kay liey zaida faidamandd sabit ho sakta hay jabb aap breakout strategy par kaam kar rahy hoty hain.

اب آن لائن

Working...
X