Forex trading mn pending oder kya hote hn?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading mn pending oder kya hote hn?
    INTRODUCTION:

    ASLAMUALIKUM DEAR FRIENDS! dear Forex member aap sab kaise hain umdeed krta hun k ap sab thek honge. Forex mein bahut hi ache treeke se kam kar rahe honge. Forex mein acche tarike se kam karne ke liye aapke pass experience planning or knowledge ka hona bahut hi zruri hai. kyunke jtni acchi aapke pass Forex ke related knowledge hoga,utana hi acche se aap trading kar sakte hn .Forex trading mein orders ki type k related kuch information or knowledge main aapke sath share karna chahta hun, Jo umeed he k aap ko bahut jyada benefit de sakta hai.



    "PENDING ORDERS"
    Dear forex market trading ke liye aapke pass different types k pending order use kiye jate Hain Jo k name ya hai.

    1) Buy limit 2) Sell limit 3) Buy Stop 4) Sell Stop



    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	18
Size:	7.8 کلوبائٹ
ID:	12569649


    1) BUY LIMIT:
    Dear buy limit ka use time Kiya jata hai jab market down ho rahi hoti hai aur aap dekhte hain ki market ko niche use support se uthana chahie to aap buy limit ka use kar sakte hain.is se aapki trade use price se automatically buy ki trade active ho jayegi. iske liye bhi aapko lot size select karna hoga aur agar aap chahe to stop loss aur take profit ka bhi Sath use kar sakte hain.





    2) SELL LIMIT:
    Dear sell limit ka matlab hota hai ki market uptrand mein movement kah rahi hai aur aap analysis karte Hain ki market ko is future ke resistance se wapas aana chahie to aap wahan se Agar sell ki trade karna chahte hain aur aap chahte Hain ki hamari trade automatically open ho jaaye to uske liye aapko sell limit lagani hogi aur sath mein lot size apni trading account or strategy k according set karna hoga to use price per jab market jayegi to aapke trade active ho jayegi.






    3) BUY STOP:

    Dear buy stop ka use market ki current price ke upar se buy ki trade ka order lagane ke liye use Kiya jata hai aur sab aap dekhte hain ki market mein agar is level ko break kiya to market mazeed upar hi jayegi to uske liye aap Buy ki trade ka order active kar dete Hain.market is price per jaati hai to aapki buy ki trade active Ho jaati hai isko bhi hedging ke liye use Kiya jata hai.






    4) SELL STOP:
    Dear sell stop se aapko market mein sell ke trade open karte hain aur ya us time use Kiya jata hai jab aap dekhte hain ki market ne Agar is level ko break ka tou wahan se market mein aur donon hi jana hai, to aap wahan se sell ki trade active kar sakte hain. market ki current price upar hoti hai aur Down hone per aap sell ke trade ka order active karna chahte hain to uske liye sell stop ko use Kiya jayega. sell stop ko hedging ke liye bhi use Kiya jata hai.

اب آن لائن

Working...
X