Use of RSI with Stochastic Oscillator
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Use of RSI with Stochastic Oscillator
    Technical Indicators

    Forex market ki movement ko samajhny ky liay hamain different trading tools ki zarurat perti hai lekin agar ham tools ki bajaey kisi technical indicator ko use kerty hain tou just aik indicator hi hamain market ki movement ki confirmation provide kerta hai jis ko follow kerty huey ham market main successful trading ker sakty hain market main different technical indicators available hain jin main bahot zyada famous technical indicators main RSI aur stochastic oscillator shamil hain jin ko ham following paras main detail main discuss kerty hain ky same indicators hamain separately kis terha ki indication provide kerty hain jo hamain trading main help provide kerti hai aur dono ky combination sy hamain trading main kia help milti hai

    Click image for larger version

Name:	forex_market_analysis.jpg
Views:	9
Size:	63.1 کلوبائٹ
ID:	12569597

    Relative Strength Index RSI

    Relative strength index aik technical indicator hai jo hamain market ky chart main by default set milta hai jo pehly sy 30 aur 70 ki position per set hota hai ky agar market dono positions main sy kisi aik ko cross ker chuki hoti hai tou wahan per market oversold ya overbought ho chuki hoti hai jis per ham reverse order main trade open ker ky continue ker sakty hain kyun ky market jab overbought ya oversold hoti hai tou wahan sy phir reverse direction main movement kerty huey apni normal position per bhi zarur aati hai lekin agar ham apni trade ko agar mazeed secure kerna chahty hain tou hamain RSI ki position ko adjust ker ky 20 aur 80 ki position per ya phir 10 aur 90 ki position per set ker lena chahiay taky hamain market ki confirm reversal per profitable trade hi mily

    Click image for larger version

Name:	tradewithrsi.jpg
Views:	22
Size:	76.3 کلوبائٹ
ID:	12569598

    Stochastic Oscillator

    Stochastic oscillator bhi relative strength index ki terha aik technical indicator hai aur is main bhi market ki overbought aur oversold position create hoti hai ky same indicator main agar market 20 ya 80 ki position ko cross ker chuki hoti hai tou usky bahd market ki reverse order main movement confirm hoti hai jis per ham trade open ker ky profit hasil ker sakty hain lekin trade aesy time per set kerni chahiay ky jab market overbought ya oversold ki position sy reverse direction main movement kerna shoru ker dy tab trade open ho tou aesi open ki jany wali trade main loss ka risk kam hota hai jab tak market aik hi trend ko follow kerti rehti hai tab tak reverse order main trade open kerna bahot risky hota hai

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220924_1255_44_9943.jpg
Views:	5
Size:	24.2 کلوبائٹ
ID:	12569599

    Use of RSI with Stochastic Oscillator

    Agar ham RSI aur stochastic oscillator ko combine use kerty huey market ki movement ki indication hasil kerty hain tou same indication confirm hoti hai ky agar RSI main market 30 ya 70 ko cross ker chuki ho aur stochastic oscillator main agar market reverse direction main movement kerna shoru ker dy tou aesy time per open ki jany wali trade main hundred percent profit hasil hota hai kyun ky stochastic oscillator aik leading indicator hai jo market ki movement ko lead ker raha hota hai lekin trade open kerny sy pehly yeh zarur confirm ker lena chahiay ky market RSI main overbought ya oversold ho chuki ho tou wahan sy market ki reverse order main movement start ho chuki ho tou her surat main profit hasil hota hai

    Click image for larger version

Name:	StochasticwithRSI.jpg
Views:	17
Size:	106.1 کلوبائٹ
ID:	12569600

اب آن لائن

Working...
X