Important term to start forex trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important term to start forex trading
    Asalam Alaikum, Dear forex forum members, Jab ap forex trading business ko join krty hain to kuch terms is business me buht zayda use hoti hain. Jo new logon ko bilkul samjh nai ati, jis ki waja say wo buht zayda confuse ho jaty hain. Aj main ap say un terms k bary main information share krna chata hoon ta k ap is business ko asani k sath samj sakin.

    Who is broker and what is his role in Forex trading market:

    Dear forex forum members, jab ap is business ko join krna chaity hain to os k liy ap ko aik broker ki zarorat hoti hai. Ap apni investment broker k pass deposit krwaty hain aur broker ap ko online terminal daita hai jis k zariy ap is bussines ko join kr sakty hain.

    Explanation of lot size:

    Forex trading market main jab ap koi selling ya buying ki trade lagty hain to yah, specific number of units me hoti hai, jisy lot size kehty hain. Lot size jitni bari Hogi, profit ya loss bi itna zayda hota hai aur risk bi itna zayda hota hai.

    Candlesticks:

    Dear forex forum members, Forex trading market main, buyer aur sellers k pressure ki waja say jo market ki movement hoti hai aur shapes banti hain, unhain candlesticks kaha jata hai. Technical knowledge k liy candlesticks ka knowledge buht zarori hota hai. Candlesticks, do tarah ki ho sakti hain, bullish candlestick aur bearish candlestick

    Buyer's pressure ya bullish movement:

    Market k uptrend main jany ki waja buyer's ka pressure hota hai. Os time market me seller's ka pressure buht kam hota hai. Jis ki waja say prices increase hoti hain, is market movement ko bullish movement krhty hain.

    Seller's Pressure ya Bearish movement:

    Jab market, downtrend main ja rahi hoti hai to os k main reason ya hoti hai k sellers ka pressure zayda hota hai as compare to buyers. Is pressure ki waja say prices decrease hona shuru ho jati hain, is market movement ko bearish movement krhty hain.

    What is take profit:

    Jab ap forex trading market main koi trade lagty hain to ap ka profit ka aik target hota jo achieve krny k bad ap trade close kr daity hain. Is level ko take profit kaha jata hai.


    Click image for larger version

Name:	download (59).png
Views:	1
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12569525
    What is stop loss:

    Dear forex forum members, jis Tarah trade lagty wakt ap ka profit ka aik target hota hai isi trah ap apna loss bear krny ki bi aik limit set krty hain. Ager market ap k against jati hai to ap ki trade is level say automatically close ho jati hai. Ager ap stop loss ni lagty to ap ka pora account wash ho sakta hai.
    Click image for larger version

Name:	download (60).png
Views:	3
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12569523

اب آن لائن

Working...
X