Leading Indicators and Lagging Indicators

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Leading Indicators and Lagging Indicators
    Financial Technical Indicators


    Financial market me aur forex trading market me qeematon ki prediction (agli movement) ko malom karne k leye technical indicators ka bohut hi ziada istemal kia jata hai. Bulke hum ye keh sakte hen, k bagher technical indicators k technical analysis na mumkin hai.
    Financial market me do tarah k technical indicators ka istemal hota hai, aik leading indicator aur dosra lagging indicator. In dono indicators ki apne apne hososeyat hen, jis ko traders istemal karke apna faida hasil karte hen.


    Click image for larger version

Name:	3.jpg
Views:	1
Size:	27.7 کلوبائٹ
ID:	12568499


    Leading Indicators


    Leading indicators k naam se saaf zahir hai, k ye indicators qeematon k movements ka pehle se hi andaza laga dete hen. In indicators ko momentum oscillators bhi kaha jata hai, aur ye market ki guzarne wali haleya qeematen aur us movement ki raftar humen batati hai. Ye indicators market ki kami taazi ya asal jazbaat ki pemayesh karte hen. Ye market ki mazi ki muqarara istemal karte hen. Misal k tawar par agar hum RSI k 14-days ki baat karen to is me RSI indicator me sirf guzeshta 14 dino ki price action hogi, is k elawa baqi qeematon k tamam trends ko khatam kar deya jata hai.
    Leading indicators ki kuch aam misalon me Commodity Channel Index (CCI), Relative Strength Index (RSI), Stochastic Oscillator, aur Williams %R shamil hen.



    Leading Indicators k Fawayed aur Nuqsanat

    Leading indicators ka pehle se zikar ho chuka hai, k ye market me pehle hi qeematon ki agli movement bata dete hen, khas kar sideways market me. Ye indicators sideways market me traders ko bohut zyada trading opportunities deti hen k wo pehle se hi market me entry ya exit karen.
    Advance ya early signal ka faida to hai k humen ziada trading k muqa melta hai, jis se ziada munafa mumkin hai, lekin dosri taraf is me risk bhi bohut zyada hai. Aksar awqat trending market me khamaya jane wala ziada tar munafa whipsaw, overtrading, aur brokerage commissions me zaya ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	2.png
Views:	1
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12568500

    Lagging Indicators


    Lagging indicators market ki maojoda qeematon ko read karke agale movement ki prediction karte hen. Forex trading ki aik mashahoor kahawat hai keh "trend is your friend". Trend ko malom karne k leye hamesha lagging indicators ka istemal kia jata hai. Lagging indicators humen market me qeematen kisi aik side k trend (bullish ya bearish trend) pe move ho jane k baad batate hen, jis tarah jab bhi qeematen aik dafa trend me chal parti hai to moving average us ko sahi direction deti hen (Moving average ka istemal us waqat nahi karna chaheye, jab bhi qeematen high price ya lower price area me hon).
    Moving Averages (M.A), Moving Averages Convergence Divergence (MACD), Consumers Price Index (CPI) waghea Lagging indicators ki misalen hen.



    Lagging Indicators k Fawayed aur Nuqsanat

    Lagging indicators market prediction market k bulkul mutabiq hoti hai. Ye indicators bohut kam hi humen loss de jate hen. Ye Indicators chonkeh market ka trend shoro hone k baad hi humen signal dete hen is waja se is me nakami k chances bhi bohut kam hote hen.
    Lagging indicators hum short term trading k leyw istemal nahi kar sajte, q k trend shoro hone k baad humen bohut kam munafa melta hai. Aksar ziada tar indicators trend khatam hone pe bhi trend ko continue dekha rahe hote hen, jis se loss hone k chances hoten hen.

    Click image for larger version

Name:	1.png
Views:	3
Size:	17.1 کلوبائٹ
ID:	12568501

    Conclusion


    Leading indicators aur lagging indicators k apne apne fawayed aur nuqsanat hai. Short term traders k leye leading indicators ziada faida mand hen, q k un ko qeematon k small movement se bhi faida uthana hota hai, jab k long term k traders k leye lagging indicators ziada faida mand hote hen, q k long term k traders market me ziada waqat k leye samaya lagaye howe hote hen.

اب آن لائن

Working...
X