Technical Analysis Mein Fibonacci Retracement Kya Hae?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Technical Analysis Mein Fibonacci Retracement Kya Hae?
    Asalam-o alikum!
    Dear friends, support aurr resistance levels kaa pataa laganey kay liey bahut saary tareeqon ka istemaal kiyaa jaata he jin mainaek Fibonacci retracement bhe hae. Fibonacci retracement levels sey traders kisee bhee up ya downtrend movement kay baad wali retracement main support aurr resistance levels ka pata lagaty hain. Fibonacci kay different levels hein aurr har level ko aik percentage kay hisaab sy btaya gya hai. Fibonacci retracement main 23.6%, 38.2%, 61.8%, 78.6% levels koo istemaal kiyaa jaata hai. Jbb market retracement kay dorAan aik level ko cross karti hae to dosry level tak support ya resistance tak ja sakti hai. Retracement levels trader ko aik achi opportunity provide karty hein kay traders new position open kerr sakty hein ya phir traders apni positions kay baary main faisla kerr sakty hein kay positions hold karni hein ya close karni hain.
    Neechay dee gaeei picture main aap dekkh saktay hein kay kiss tarrha market up gai aurr phir fibonacci level 38.2% tak aai aurr usko kafi time hold karny kay baad phir up gai.

    Click image for larger version

Name:	fib1.jpg
Views:	1
Size:	8.3 کلوبائٹ
ID:	12565961

    Fibonacci Retracement Construction
    Dear friends, Jesa kay humko maloom hae kay fibonacci retracement wo movement kay jo kay trends kay against chart par nazar aati hai. Fibonacci retracement ko lagu karny kay liey pehly aap 100% move chay wo upward ho ya downward ho uske shanakht karin aurr phir fibonacci levels lagain.

    Fibonacci kay levels laganey kay liey step by step guide

    Sab sey pehly chart par aap down and up value jo market nay kee hae usko talash katin jahan aapne fibbo lagani hai

    Click image for larger version

Name:	fib2.jpg
Views:	1
Size:	8.0 کلوبائٹ
ID:	12565962

    Agar aap mobile pe MT4 sy fibonacci tool lagana chahty hein to wahan sy bhe laga sakty hein jesa kay PC pe lagaty hain. Neechy dee gai pic main dekhin

    Click image for larger version

Name:	fib3.png
Views:	1
Size:	9.2 کلوبائٹ
ID:	12565963

    Fibonacci Retracement tool ko aap 1 point sy ly kerr dosry peak tak lay kerr jaain aurr peak par ja kerr chor dain to automatically aapko fibonacci levels dekhna shurkar day ga.

    Ab aap dekh saty hein kay fibonacci levels chart par lag gy hein aurr enko dekh kerr aap apni market main positions set kerr sakty hain.

اب آن لائن

Working...
X