Bolly Band Bounce trading strategy.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bolly Band Bounce trading strategy.
    Dear friends, forex main traders anaylisis kay baad proper strategy ko use kar kay market main entry ki koshish kartay hain, yeh strategies agr achay anaylisis par based hon to trade successful rehti hay, in main say aik bolly band bounce trading strategy bhi hoti hay, jis ki details yeh hain,

    Basics of Bolly band bounce trade strategy:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221102_0526_21_1852.jpg
Views:	1
Size:	12.9 کلوبائٹ
ID:	12565730

    Bolly band bounce aik aham trading strategy ha jis k liay bollinger band indicator ki zrurat hoti ha, ye strategy us waqt use ki jati ha jab market range bounded ho ya prices sideways move kar rahi hon, boht saray traders aisi situation ko trading k liay acha nhi samajhtay lakin agr is situation ma bolly band bounce k zariay achi trading possible ho sakti ha, yeh is cheez par depend karti hai kay price jab outer band ki bhot extreme par ponch jati hain to phr wo mean ki taraf dobara wapas aa jati hain, jab price lower bollinger band par hoti hai to es strategy ko use kar kay buy ki trade open ki ja sakti hai aur jab market ki price upper bollinger band ma hoti hai to is strategy ki help sy sell ki trade open karny ma help melti hay

    How to apply this strategy:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221102_0526_21_0591.jpg
Views:	1
Size:	16.4 کلوبائٹ
ID:	12565732

    Is strategy ko apply karnay kay liay hmain bollinger bands sa achi tarah wakfiat honi chaiay, in main basicaly three bands hotay hain, jo upper, middle aur lower band hotay hain, middle band dusray dono bands ki base kay tor par act karta ha, in three bands kay darmian ki spacing volatility ki wajah say hoti ha, bands ka ziada gap high volatility aur thora gap low volatility ko zahir karay ga, ye overbought aur oversold levels ko find karnay kay liay boht useful hain, jab price lower band ko hit karay to buy ki trade ki jati ha aur jb upper band ko hit karay to sell ki trade,

    Trading techniques using this strategy:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221102_0526_20_8730.jpg
Views:	1
Size:	12.7 کلوبائٹ
ID:	12565734

    Is main bollinger bands strong support aur resistance levels ki surat main show hotay hain, jahan say price kay bounce honay kay chances high hon, traders is main price action kay crossover ki expectation rakhtay hain, is main outer band entry aur exit point act karta ha, is tarah stop loss aur take profit ko thek moment k mutabik kisi bhi waqt adjust kia ja sakta hay, yeh strategy us waqt best kam karti ha jab market silent ho, yeh kisi bhi tarah kay technical anaylisis karnay kay liay use ki ja sakti ha, ye price action trading kay liay boht achi samjhi jati ha

اب آن لائن

Working...
X