"Envelope Channel" kay features
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    "Envelope Channel" kay features
    dear friends, forex trading main indicators kay yse ko importance daini chaiay kiun kay yeh successful trade kay sath profit hasil karnay ki waja bhi bantay hain aur account ki safety main bhi helpful hotay hain, forex main kafi saray indicator hain lakin ye indicator aur channel kay popular hony ki waja ye hoti hai kay wo use karny main easy hoty hain aur samajhnay main bhi asan hoty hain

    Main features of envelope channels:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221031_0629_51_1860.jpg
Views:	1
Size:	4.2 کلوبائٹ
ID:	12565542

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221031_0629_51_3471.jpg
Views:	1
Size:	12.3 کلوبائٹ
ID:	12565543

    Market main current price kay irdgird upper band or lower band hoty hain jo kay moving average say determine kiya jata hai. Ye upper or lower band moving average ki madad say lower aur upper moving average ko calculate kartay hain. Envelope channel ko different technique aur method ki help say calculate kiya jata hai, upper or lower band ko calculate karny ki setting use kar sakty hain, in band kay darmian distance calculate karnay kay liay higher aur lower moving average kay percentage variables ko use kia jata ha jin ki value 2%, 5% aur 10% hoti hain.

    Calculations of envelope channel:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221031_0629_51_4552.jpg
Views:	1
Size:	15.5 کلوبائٹ
ID:	12565544

    Envelope channels ki number of deviations bollinger bands ya keltner channels kay kafi similar hoti hain, in channels ko different techniques kay sath create kia jata ha, market ki normal conditions main prices upper aur lower bands k darmian ma rehti hain, jab kay market ki volatility ki conditions in envelope kay bands kay darmian gap narrow ya wide ho kay information daitay hain, traders ko breakouts aur breakdown main envelope channels sa help laini chaiay kiun kay in kay use sa trades ki reliabilty aur benefits kay achay chances hotay hain

    How buy and sell signals are generated:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221031_0629_51_5683.jpg
Views:	1
Size:	4.0 کلوبائٹ
ID:	12565545

    Envelope channel mein ap boht hi achi short term trading kar saktay hain agar apko market mein scalping karna hoti hai to is purpose kay liay bhi yeh channel ap kay liye bahut hi important role play kar sakta hay, envelope channels traders aur investors ko extreme overbought aur oversold conditions kay sath sath trading ranges ko identify karnay main help provide kartay hain, is main jab prices upper band ko cross karti hain ya us kay kareeb hoti hain to sell signals generate hotay hain aur jab prices lower band ko cross karti hain ya us k kareeb hoti hain to buy signals generate hotay hain,

اب آن لائن

Working...
X