Importance of Hammer candlestick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of Hammer candlestick pattern
    Aslam o alaikum. Dear members umeed karta hun k ap sab kheriat k sath houn gey and forex par achi learning kar rahy houn gey. Aj mein ap sab k sath aik boht important topic discuss karun ga jis ki information ap sab k pas lazmi honi chaiye. Aj mein ap sab ko hammer candlestick k bars mein btaun ga kyun k yeh aik boht he important candlestick pattern hai




























    .* What is a Hammer candlestick pattern?

































    Hammer candlestick pattern mein aik small real body hoti hai jis ka open and close aik dusry k qareeb hota hai. Jo disadvantage par aik long shadow hota hai . Yeh candle prices mein hamen bht enter information faraham karti hai. Yeh aik small real body k sath bottom side par long shadow ki hoti hai. Candle ki prices k bottom par banny ki waja sey bull trend wali hoti hai. Is k price k bottom par candle k color ki koi importance nai hoti hai.




























    * Hammar candlestick pattern explained:


































    Dear members hammer camdle financial market mein kisi asset ki prices bearish trend k doran aik candle din k start sey hi pehly kafi zada down jati hai compare day k end par wapas apni opening position k qareeb close hoti hai. Is candlestick ki opening and closing prices aik dusry k qareeb hoti hein but candlestick k lower aik long shadow hota hai.Hammer candlestick mein aik din k doran prices boht zada bearish ja kar wapas apni positions k nazdeek ajati hein. Yeh aik single pattern color ki candle hai jis ka open close a high price aik dusry k qareeb aik small real body hoti hai. Low price same nahi hoti. Yeh T shaped candle jaisi hoti hai. Yeh candle prices to lower par banny wali dragonfly doji candle aur prices to upper par banny wali hanging man candle sey milti julti hai. Hammer candle prices k top par bearish reversal trend ka kam karny wali candles hai jo shooting star ki opposite direction hoti hai.





















    * Description of the Hammer candlestick:































    Dear members market mein kisi aktiv ki prices ko aik bear trend k doran lower jany par rejection ka samna karna parta hai. Je ki waja sey prices wapis ahny par open price par close ho jati hai. Yeh candle bear trend k doran low prices mein bany ki waja sey bull trend reversal tasawar kea jata hai. Is candle mein market mein selling pressure k ending ka signal hota hai and traders buy ki entry lety hein.Hammer candlestick pattern par trading k liye zaruri hai k traders is pattern k pura hony ka wait kary and jab yeh pattern pura hojaye tou buy ki entry ly kar market mein enter hojaye. Yeh aik bullish candlestick pattern hai jo currency pairs and commodities k price chart mein long bear trend k bottom par banta hai.
    Last edited by ; 28-10-2022, 02:39 AM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Importance of Hammer candlestick pattern

    Importance of Hammer candlestick pattern:

    Forex trading me candle sticks chart pattern us waqat banta hai jab bhi market me koi price kisi nuqta aghaz k muqable me kam ho jaye lekin apne opening point se kuch fasle pe band ho jaye, hammer candle stick pattern me candle ki choti si bady ban jati hai jo k doji candle stick pattern se mukhtalif hoti hai. Hammer candle stick pattern me candle ka jo saya banta hai aik to wo downward hota hai aur dosra ye saya candle ki body ka taqreeban dugna hota hai. Is wahja se is candle stick pattern ko hammer candle stick pattern kaha jata hai. Hammer candle stick pattern me candle ki body market ki opening aur closing point ko represent karti hai, jab k candle stick ka saya market ki price high aur low ko show karti hai jo k us period me howe hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (77).png
Views:	18
Size:	11.9 کلوبائٹ
ID:	12429069


    Benifits of hammer candle stick:


    Forex trading me hammer candle stick us waqat banta hai jab market me selling pressure waqti tawar pe a jata aur us k bad market ki reversal ho jati hai aur candle ki close hone pe market ki candle stick hammer patterns ka van jata hai. Hammer candle stick pattern banne se market me buyer zyada active ho jate hen, aur traders ko market ki reversal ka ishara mel jata hai. Jis se traders market me stocks ko sbuy karte hen.



    Click image for larger version

Name:	HAMMER1.png
Views:	2
Size:	129.8 کلوبائٹ
ID:	12429070

    Drawback of Hammer candle stick pattern:


    Forex trading me hamamer candle pattern ka ye faida hai k is se hamen aik strong qisam ki market ki reversal ka ishara mel jata hai aur yahan se market pher uptrend chalna shoro karta hai. Hamen lazmi tawar par hammer candle stick banne k bad market me buy ka trade open karna chaheye. Hammer candel stick pattern ki drawback ki agar baat karen to ye hai k financial market me koi bhi pattern 100% sahi kaam ka nahi jeh sakta hai, q k sare chart pattern ya candle stick pattern market me traders ki banaye howe hen, is waja se market me hammer candle stick pe bhi bharosa nahi kia ja sakta.

    اب آن لائن

    Working...
    X