Breakout trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Breakout trading
    AOA
    INTRODUCTION
    Friends kya haal hai aapke ummid karta hun aap sab khairiyat se ho Gaye Jahan Rahe khush rahe aur mahfuj Rahe aaj jis topic per main aapke sath Apne knowledge ko share karna chahta hun vah Hai break out trading break out trading kya hoti hai kab hoti hai aur kis Tarah ki jaati hai aur kaise is break out heading se Ham profit hasit kar sakte hain isko understand karne ki koshish karenge agar ham log breakout trade trading ko samajh len ki kaise Ham support aur resistance level ko understand kar sakte hain agar hamen Sahi aur support or resistance ka maloom ho jaaye To Ham apni trading mein achcha profit hasil kar sakte hain ab resistance aur support level ka kaise pata chalta Hai isko humne understand karna hai Taki Ham acchi trade karte hue achcha profit hasil kar saken

    DEFINITION OF BREAKOUT TRADING
    Break out use situation ko kahate Hain jab market Kisi chart pattern ya FIR Kisi strong support ya resistance ke pass ho To jab market use pattern ya support ya resistance ko break Karen usse bahar nikal jaaye ismein trading ke liye aapko break out ka vate Karna hota hai aur uske bad break out ki confirmation ka bhi vate karna chahie agar aap break out ki confirmation se pahle trade karenge to aapko loss bhi ho sakta hai
    Click image for larger version

Name:	GBPUSD-H4-Support-Area-Breakout-1024x397.jpg
Views:	14
Size:	54.0 کلوبائٹ
ID:	12565216
    CONFIRMATION OF BREAKOUT
    Break out per trade karne ke liye iski confirmation important hoti hai aur break out ki confirmation ke 2 methods Hain pahle method yah hai ki jis time frame ke chart mein aapane pattern ya support ya resistance ki Hai uski time frame mein break out ho aur break out ke bahar market usi time prem ki ek candle use pattern ya support aur resistance se bahar cross Karen second method confirmation hi hoti hai ki market break out karne ke bad ya to apna previous high break Kar de ya FIR jis area ko break kiya hai usko retest Karen
    Click image for larger version

Name:	breakout1.jpg
Views:	1
Size:	97.4 کلوبائٹ
ID:	12565217
    HOW TO BREAK OUT TRADING
    Agar aap break out ko trade karna chahte hain to ismein confirmation ke bad entry le aur yah depend karta hai agar resistance ka break out hua hai to buy ki trades leni hoti hai aur agar support ka break out ho to sell ki trade leni chahie aur agar aap Kisi pattern ki break out pay trade karte hain to use pattern ko study Karen uske hisab se trade lagaen ismein aapka stop loss area niche Hoga jiska break out hua hai aur aapka profit target market ke next high ke equal Hoga aur pattern mein har pattern ka profit target different hota Hai isliye aapko chahie ki aap stop loss or take profit ko Apne pattern aur apne knowledge ke mutabik set Karen
    Click image for larger version

Name:	usdjpy-forex-breakout-strategy.png
Views:	1
Size:	30.8 کلوبائٹ
ID:	12565218

اب آن لائن

Working...
X