Assalamu Alaikum Dosto!
Homing Pigeon Pattern
Homing pigeon pattern prices k bottom main two days k bearish candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle sellers ki ziada ferokht ki waja se banti hai, q k ye aik long real body wali candle hoti hai. Pattern ki dosri candle aik small real body main hoti hai, jo k open aur close pehli candle ki real body main hoti hai. Dosri candle bhi same bearish trend ki hoti hai, lekin small real body hone ki waja se ye ziada strong bearish reaction nahi dekhati hai, jiss ki waja se iss pattern ka behaviour bullish trend reversal ka ho jata hai.
Candles Formation
Homing Pigeon Pattern main shamil dono candles bearish trend k hone k bawajood bhi ye pattern aik bullish trend reversal ka kaam karta hai, q k dosri candle ki small body aur iss ki position bohut alaga hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle:
Homing Pigeon Pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices main bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle sellers ki prices ko ziada nechay push karne k nateejay main banti hai, jo k color main black ya red hoti hai. 2. Second Candle:
Homing Pigeon Pattern ki dosri candle bhi same bearish trend ki hpti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai. Ye candle pehi candle ki nisbat small hoti hai, jab k iss ka open aur close dono pehli candle k andar hota hai. Ye candle bullish trend reversal ka sabab banti hai. Explaination
Homing Pigeon Pattern dekhne main same bullish harami pattern jaisa hi hai, bas dosri candle ki color ka difference darmeyan main par jata hai. Pattern low prices area ya bearish trend main strong bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern do bearish candles hone k bawajod bhi bullish trend reversal pattern hai. Pattern ki pehli candle aik long real body main hoti hai, jiss k baad aik small real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k inside main hota hai. Opposite direction main prices k top par bearish trend reversal k leye descending hawk pattern banta hai.
Trading

Homing Pigeon Pattern dono bearish candles hone k bawajood thora sa riski pattern hai, iss waja se pattern k leye low prices area ya bearish trend ka hona zarori hai. Trend confirmation k leye pattern k baad aik bullish real body wali candle zarori honi chaheye, jiss par market main entry ki ja sakti hai. Pattern ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, jo k oversold zone main hona chaheye. Pattern k baad bearish candle banne se market main entry se parhez karen, q k pattern ki afadeyat khatam ho jati hai. SIZE=2]
Stop Loss
[/SIZE] pattern k sab se lower area ya pattern ki pehli candle k bottom se two pips below set karen.