Rising Three Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Rising Three Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Rising Three Pattern


    Rising three methods price chart par prices k uptrend main continuation k leye jana jata hai, jo k high prices ya bullish trend k baad banta hai. Rising three methods panch candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo aik long real body main banti hai. Pehli candle k baad teen small real body wali bearish candles hoti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k andar hoti hai. Ye teeno candles pehli candle k open aur close price se bahir nahi nekate hen. Teeno bearish candles prices ko waqti tawar par mazeed bullish jane main rukawat dalti hai. Pattern k last par aik aur long real body wali candle hoti hai, jo k prices ko sabeqa trend main continue karwati hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20221023_130023.jpg
Views:	1
Size:	25.9 کلوبائٹ
ID:	12564724

    Candles Formation


    Rising three methods trend bullish continuation pattern ki waja se prices k uptrend ya newly bullish breakout trend main banta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hote hen;

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20221023_125654.jpg
Views:	5
Size:	72.5 کلوبائٹ
ID:	12564725

    1. First Candle: Rising three methods ki pehli candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss k upper aur lower side k wicks ya shadow real body se kam hone chaheye. Ye candle bullish trend ki alamat hoti hai, jo k white ya green color main banti hai.

    2. Second Candle: Rising three methods ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jiss ki real body bohut small hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main top par banti hai, yanni candle ka open aur close pehli candle k andar hota hai.

    3. Third Candle: Rising three methods ki teesri candle bhi aik real body wali bearish candle hoti hai, aur same dosri candle ki tarah small bhi hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k andar hota hai. Ye candle dosri candle k nechay aur pehli candle k real body main banti hai.

    4. Fourth Candle: Rising three methods ki forth candle bhi dosri aur teesri candle ki tarah bearish bhi hoti hai aur small real body main hoti hai. Ye candle teesri candle k baad nechay banti hai lekin ye candle bhi same dosri aur teesri bearish candles ki tarah pehli candle k andar hota hai.

    5. Fifth Candle: Rising three methods ki last candle bullish hoti hai, jo k pehli candle ki taqreeban parallel main banti hai, lekin open forth candle k baad hoti hai, jab upper side par ja kar close hoti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k bullish trend continuation ka kaam karti hai.

    Explanation

    Rising three methods main dekhne main same "Mat-hold pattern" ya bearish trend par banne wala "Bullish Three Line Strike Pattern" se melta julta pattern hai, jo k uptrend k leye istemal hota hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k uptrend ki alamat hoti hai. Pehli candle k baad teen small real body wali bearish candles hoti hai, jo k open aur close pehli candle k andar hoti hai. Ye small candles prices ko temporary tawar par bullish jane se rokti hai, jiss se prices k dowran waqti tawar par pause a jata hai. Lekin baad main aik bari real body wali bullish candle banti hai jo k prices ko uptrend main continue karwati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (5).png
Views:	15
Size:	11.1 کلوبائٹ
ID:	12564723

    Trading

    Rising three method candles k upward trend main aik pause create kati hai, jiss k baad prices wapis apni sabeqa trend par chal parti hai. Ye pattern panch candles ka aik majmoa hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jab k baad wali teen candles small real body wali bearish candles hoti hai, Bearish candles dar asal market main analyst ki prices k bare main agli faisala ka time hota hai, k aya prices ne upward jani hai, k nahi, lekin last par aik long bullish candle k banne se ye wapis pane porane trade par chal parta hai. Pattern par trades open karne se pehle aik agli bullish candle ka intezar zaror karen jo k buy k entry k leye hona chaheye. Stop Loss pattern k lower side ya pehli bullish candle k open price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20221023_125714.jpg
Views:	6
Size:	123.7 کلوبائٹ
ID:	12564722

اب آن لائن

Working...
X