Detail Discussion on Robot Trading in Forex
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Detail Discussion on Robot Trading in Forex
    Robot Trading Kia Hai

    Ham forex market main trade kerny ky aik additional options use ker sakty hain ky ham agar khud market main trade nehi ker sakty tou ham koi robot purchase ker ky apny account main set ker dety hain ky phir market ki movement ky sath robot khud hi hamary balance per trades open aur close kerta rehta hai aur hamain isterha trades kerny per maximum trades main profit hasil hota hai aur specially aesy traders ko robot trading bahot profit deti hai jo leaning process main hoty hain aur jinka trading ka experience kam hota hai tou aesy traders bhi forex market main trading ky liay robot purchase ker ky set ker sakty hain jis sy khud trade kerny main jo loss ka risk hota hai woh kam ho jata hai

    Click image for larger version

Name:	1.jpg
Views:	2
Size:	123.8 کلوبائٹ
ID:	12563896

    Robot Kia Hota Hai

    Robot aik aesa software hota hai jo market ki movement ky sath active ho jata hai aur ham jo us main setting kerty hain risk level ki tou usky hisab sy robot market main trade open bhi kerta hai aur close bhi kerta hai ky ham jab koi robot apni trading main set ker dety hain tou phir hamain khud na tou market ky analysis kerny ki zarurat hoti hai aur na hi hamain trade open ya close kerny ki zarurat hoti hai hamari trading automatically continue ho jati hai ky jab robot ky mutabiq market kisi direction main maximum movement ker leti hai tou robot same movement per market ky breakout per bhi trade open ker leta hai aur jab market aik limit tak movement ker leti hai tou jo movement correction ky liay hoti hai us per bhi robot trade open ker leta hai aur apni setting ky mutabiq bar bar trades open aur close kerta rehta hai

    Click image for larger version

Name:	3.jpg
Views:	2
Size:	85.4 کلوبائٹ
ID:	12563897

    Robot Trading Kitni Profitable Hai

    Agar ham forex market main new hain aur hamain trading ka koi experience nehi hai tou forex market main ham trade kerty huey bar bar loss hi kerty rehty hain kisi trade main hamain profit nehi hota tou aesi surat main agar ham market main achi amount invest ker lety hain tou hamain phir koi acha sa robot purchase ker ky set ker lena chahiay ky phir ham starting main hony waly loss sy bach jaty hain aur hamain trades main profit bhi hasil hona shoru ho jata hai lekin hamain sath sath khud demo account sy trade continue rakhni chahiay ky ham khud jab forex market main trading expert ban jaty hain tou phir ham forex market main robot ky baghair trade kerty huey bhi bahot achi earning kerna shoru ker dety hain lekin jab tak acha experience na ho jaey robot trading hamary liay best option hota hai jis sy ham acha profit bana sakty hain

    Click image for larger version

Name:	5.jpg
Views:	4
Size:	26.9 کلوبائٹ
ID:	12563898

    Robot ky Disadvantages

    Jahan forex market main robot sy trade kerny ky bahot sary faidy hain wahan per kuch disadvantages bhi hai ky agar ham market main trade open kerny ka acha chance dekh ker trade open ker ky short time main bahot achi earning ker sakty hain wahan per robot apni setting ky mutabiq hi trade open ker ky limited profit hi hasil ker sakta hai kyun ky robot apni setting ky hisab sy hi forex market main trades open aur close kerta hai aur agar ham kuch amount forex market main investment ker ky robot set ker lety hain tou hamain phir market ko time to time read bhi kerty rehna chahiay ky jab acha profit hasil ho raha ho tou trade robot stop ker ky profit ko withdraw kerwa lena chahiay warna agar ham long time ky bahd market ko open kerain gy tou ho sakta hai hamara account hi wash ho chuka ho kyun ky totally robot per depend kerny per end result account wash ki surat main milta hai

    Click image for larger version

Name:	4.jpg
Views:	2
Size:	62.7 کلوبائٹ
ID:	12563899

اب آن لائن

Working...
X