Introduction
Dosto akasar pattern jo ke market ke trend ko change hone ka indicator dete hain magar aaj hum jis pattern par guftagu karne wale hain woh aik trend continuation pattern hay jos ke chart main namodar hone ke bad yah tasavor kiya jata hay ke abhe trend mazeed jari rahe ga to ayye is ko detail main samajhne ke koshish karte hainWhat Is On Neck Candlestick Pattern ?
On-Neck pattern aik bearish trend continuation pattern jo k qeematon k lower side pe ya bearish trend me paya jata hai. Pattern do mukhalif colour ki candles par mushtamil hota hai, jis me pehli candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jis k baad banni wali 2nd white candle hoti hai. Ye pattern waqti tawar par qeematon k lower side pe tezi ko rokh leti hai, lekin trend ko reversal nahi kara sakti hai.
Identification Points
On-Neck pattern k leye qeematon ka pehle se bearish trend me hona zarori hai kun ke ye aik trend continuation pattern hai aattern do candles par mushtamil hota hai jis me
○1st black candle aik bari real body wali black candle hoti hai
○2nd white candle black candle se gap me open hoti hai jab k close pe lower side pe hoti hai
How To Trade with Trading On Neck Candlestick Pattern
On Neck pattern qeematon k lower side pe banne k bawajood bhi bearish trend continuation pattern hai Pattern ki 2nd white candle k black candle se lower pe close hona market me khareedaron ki aam-dilchaspi dekhati hai. Bearish trend confirmation k leye 3rd black candle ka intezar karna zarori hai, agar wo candle black banti hai to ye sell ka signal hoga. Stop loss 1st black candle k top price pe set hoga