Gross Domestic Product Kia Hai aur GDP Ky Economy Par Asraat?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Gross Domestic Product Kia Hai aur GDP Ky Economy Par Asraat?
    Aslam u Alaikum! Dear members i hope ap sab kehriyat sy hon gay, or market main achi earning kar rhy hon gy. Dear agr ap market main kamyabi Hasil karna chahty hain to aapko Hamesha experience k satg kam karna hota hai aur apni learning ko perfect banana hota hai. Tab hi ap kamyabi hasil kar sakte hain.Forex trading mein agar aap successful trading karna chahte hain. To ap ko different factor par study karty hain to ap ko bhot zyda advantages available hoty hain. Aj main ap ko trendlines k related important information share karna chahti hun jis ko samjh kar ap asani sy trading kar sakte hain. Aj main ap sy Gross Domestic Product k related information share karna chahti hun jis main ap ko bhot zayda experience hasil ho sakhta hai...

    WHAT IS GROSS DOMESTIC PRODUCT:

    Dear GDP 3 word Gross Domestic Product kay ly istemaal hoty hain jis ka urdu main matlab hay Majmoei Mullki Paidawar. Jesa kay lafzon se zahir hay kay GDP mulk main jitne mulkk ke Paidawaar Goods and services hote hain un ko jamma kar kay bnayaa jaata hay aur ye salanaa calculate kiya jaata hay. Gdp main saari wo cheezin shamill hoti hain jo us saal main kise bhe mulk main produce hoti hain. Maslan agar aik saal main 1 lakh new gaariyan bani hain to unn ke keemay ko GDP main shamil kiyaa jaata hai esi tarha aur bhe jo cheezin banti hain unn sb ko shamil kiya jaata hai.

    EXPLANATION OF GROSS DOMESTIC Product

    Dear Gross Domestic Product harr mulkk main saalana calculation kay baad zahir kiya jaata hay aur Gross Domestic Product country main jitne bhe new cheezin banaai jaati hain ya bikti hain unke keemat ko jama kar kay bnayaa jata hay. Ye baat zehan main rakhi jaay kay gross domestic product main sirf wohii cheezin shamil hoti hain jo sirf pehli baar sale hoti hain. Agar koi cheez dobara ya phir repair ho kay sale ho to wo gross domestic product main shamil nahi hoti. Han jo cheez repair hoti ha maslan agar gaari hay to uska tire to wo gross domestic product ma shamil ho ga na kay dobara se poori gari ke keemat. GDP mulk ke taraki ko show karta hay aur ye taraki ke nishani hay.

    ECONOMY PAR ASRAAR:

    Dear GDP mulk ke mae'eshat ke pehchaan hay agar GDP zayda hota hay to us mulk main companies zayda bandy hire karti hain aur zayda salaries de jaati hain. Jis se mulk ke taraki zahir hoti hay. Es kay barakas agar mulk ka GDP down ho raha ho to inflation bharti hay aur berozgarri ya unemployment bharti hay. Jo kay mulk ke tanazli ke nishaani hota hay. GDP ko forex traders bahut zaida Importance detty hain kun kay GDP say aany waly maheenon yaa saalon main Economy par asraat zahir karty hain. Agar kise mulk ke economy ko positive momentum chahey ho yo uss kay GDP par sab zaida foucas kiya jaata hai. Forex traders jabb bhe analysis karte hain aur specially fundamental analysis main sab sy zaida esy ehmiyat dee jaati hai. Technical analysts bhe GDP par lazmi nazar rakh kar technical analysis karte hain.
    Click image for larger version

Name:	IMG-20221005-WA0001.jpg
Views:	3
Size:	31.1 کلوبائٹ
ID:	12560938

اب آن لائن

Working...
X