When do we use the risk during trades.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    When do we use the risk during trades.
    Dear friends!
    Forex market main trading karna bahut ziada risky is liye hota hai qk is market main volatility bahut ziada hoty hai, aur usk sath is market trading main mined pay bahut ziada pressure honay ki wajha say is main risk ko manage karna aur uska use karna bay had zaruri bhi hoty hai aur sath mushkil bhi. Market chart pay trading kartay huway kabhi kabhar ham apnay emotions ko is liye control nai rakh patay hain qk hamaray pass jo knowledge aur experience hota hai hamain us pay trust honay ki wajha say ham ziada say ziada risk laitay hain aur usi bay tukkay risk ka reward na hasil kartay huway hamain big losses ka samna karna parta hai.
    Aj k is topic say ham kuch aisa seekhnay ki try karaingay k hamain market main trading kartay huway kab aur kitna risk laina hai k jis say loss bhi agar ho jaye to usay recover aur manage karna easy ho jaya, jo k sab kuch darj zail main hai.


    Money management:


    Dear friends!
    Market main trading karnay aur risk ko essential rakhnay k liye agar ham money management k rules ko apply kartay huway trading kartay hain to ham risk ko usk time pay pick karaingay aur agar hamara risk fail bhi hota hai to hamara loss recoverable hoga, aur agar ham trading kartay huway apnay account capital say ziada aur big risk hasil kartay hain to hamari trades nakaam honay ki wjaha say hamara risk hamko loss is hisaab say daiga k ham market main trading karnay k kabil he nai reh jaingay, is liye best yahi hai k market main trading kartay huwya money management k rules ko sab say pehlay apply karna hamain apni habbit bana laina chaye. Aisi soch aur aisi trades say ham market main jitna bhi risk laingay hamain us say kam say kam loss aur acha benefit mumkin hoga.


    Risk management is essential:


    Dear friends!
    Yeh aik hakeekat hai k jab tak traders market main trading kartay huway risk ko essentials nai samjhtay hain unko market say kabhi acha profit hasil nai ho sakta hai, laikin usk sath sath agar ham market main trading kartay huway apnay emotions aur greed ko control nai kartay huway to hamara risk hamain kabhi bhi reward nai dila sakta hai aur na kabhi ham market main trading kartay hwuay uski hakeekat ko samjh saktay hain. Risk management is liye bhi essentials hota hai qk agar ham market main risk nai liaty hain to hamain reward ki bhi hope nai rakhnai chaye is liye better yahi hai k risk ko essential samjhnay k liye usk rules ko smajha jaye aur sath sath money management k rules ko agar ham apply kartay huway market main trading kartay huway to is business say ham acha reward kam capital k sath bhi hasil kar skatay hain, aur agar ham in rules ko apply nai kartay hain to ham jitnay bhi experts han ham kabhi success nai ho saktay hain.


    Click image for larger version

Name:	risk2.png
Views:	1
Size:	252.8 کلوبائٹ
ID:	12560653

    Shukrya.

اب آن لائن

Working...
X