Importance of "Bullish & Bearish Stalled Candlestick pattern" in forex market...

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of "Bullish & Bearish Stalled Candlestick pattern" in forex market...
    Stalled Pattern:

    Aslam u alaikum,

    Dear forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members Stalled pattern aik strong trend reversal pattern hai, jo k ziada tar high prices area ya low price area me paya jata hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jis me shamil sari candles same colour ki hoti hen, lekin last wali candle Spinning top candle banne ki waja se trend ulat (reverse) karwati hai. Stalled pattern bullish ya bearish dono side pe ho sakta hai, jis ki tafseel darja-zel hai.





    Stalled Bullish Pattern


    Introduction:

    Stalled bullish aik trend reversal pattern hai, jo k ziada tar low price area ya bearish trend k baad paya jata hai. Stalled bullish pattern bhi "Three Black Crows Pattern" ki tarah teen candles par mushtamil hota hai, lekin farq in candles ki real body me difference ki waja se hai. Is difference ki waja se ye aik bullish trend reversal pattern ban jata hai. Stalled bullish pattern me 1st aur 2nd aik bari black candles hoti hen, jis k baad banne wali 3rd candle aik small real body wali (Spinning Top) candle hoti hai.



    Pattern ki Pehchan ka Qayeda:

    1. Stalled bullish pattern aik trend reversal pattern honi ki waja se qeematon ka pehle se high price area ya bullish trend me hona zarori hai.
    2. Pattern me shamil teeno candles black honi chaheye, aur teeno low close honi chaheye.
    3. Pattern me shamil 1st aur 2nd candle ki real body 3rd candle se bari honi chaheye, aur 3rd candle aik Spinning top candle hoti hai.
    4. Pattern me shamil 3rd candle 2nd candle se gap me bhi ban sakti hai, us waqat ye candle "star" candle ban jayi hai. 3rd candle hi ki waja se qeematen reverse hona shoro hoti hai.



    Pattern ki Tafseel:

    Stalled bullish pattern teen black candles par mushtamil hota hai, jo ziada tar high price area ya bearish trend k baad paya jata hai. Ye pattern "Three Black Crows Pattern" se candles ki real body me tadeeli ki waja se mukhtalif hai. Pattern me shmail 1st aur 2nd candles aik lambi real body wali black candles hoti hen, jo market me selling pressure dekhati hai. Pattern me shamil teeno black candles low price pe close hoti hai. Pattern me banni wali 3rd candle aik small real body wali hoti hai aur aksar ye candle aik Spinning top candle hi hoti hai, jo k 2nd candle k high k sath close ho jati hai. 3rd candle qeematon k selling pressure ko khatam karti hai, jis se market ka agla trend reversal ho jata hai. Agar Spinning top candle 2nd candle se thore se gap me ban jaye to is candle ko "star" candle kehlayegi.

    Pattern pe Trading ka Amal:

    Ye aik trend reversal pattern honi ki waja se buy ki signal genrate karta hai. 3rd black candle banne k baad traders market me buy ki entry kar sakte hen, lekin trend confirmation k leye 4rth candle ka intezar karna zarori hai. Agar 4rth candle bearish banti hai, jo 2nd aur 3rd candle k open price se high me close ho jati hai, to ye buy signal ki confirmation hoti hai. Lekin ziada high price area ya long bearish trend k baad confirmation candle ki zarorat nahi hai.

    Introduction:


    Stalled bearish pattern bhi "Three White Soldier" pattern ki tarah teen white ya bullish candles par mushtamil pattern hai, jis ko deliberation pattern bhi kaha jata hai. Stalled bearish pattern me shamil teeno candles white real body wali honi chaheye, jis me 1st aur 2nd candle ki real body bari honi chaheye, jab k last me banni wali white candle ki real body small (Spinning Top candle) hoti hai. "Advance Block pattern" ki tarah stalled pattern bhi bullish trend k khatme ka ishara deta hai, jo k 3rd number par banni wali spinning top candle se zahir hota hai. Ye aam tawar par ziada qeematon wale area me ya bullish trend k baad paya jata hai.



    Pattern ki Pehchan ka Qayeda:

    1. Stalled bearish pattern k leye market me pehle se high prices area ya bullish trend ka hona zarori hai.
    2. Pattern me teen white candles shamil hongi, aur har aik high-close honi chaheye (candles ki close price lazmi open price se ziada honi chaheye).
    3. 1st aur 2nd candle bari real body wali candles honi chaheye.
    4. Pattern me shamil 3rd candle ki real body small (spinning top candle) honi chaheye, baaz dafa ye candle 2nd candle se uper gap me bandi hai.




    Pattern ki Tafseel:

    Stalled bearish pattern aik bearish reversal pattern hai, jo k teen white candles par mushtamil hota hai. Ye pattern "Three White Soldier Pattern" se candles ki real body me tadeeli ki waja se mukhtalif hai. Pattern me shmail 1st aur 2nd candles aik lambi real body wali white candles hoti hen, jo market me buying pressure dekhati hai. Pattern me shamil teeno white candles high pe close hoti hai. Pattern me banni wali 3rd candle aik small real body wali hoti hai aur aksar ye candle aik Spinning top candle hi hoti hai, jo k 2nd candle k high k sath close ho jati hai. 3rd candle qeematon k buying pressure ko khatam karti hai, jis se market ka agla trend reversal ho jata hai. Agar Spinning top candle 2nd candle se thore se gap me ban jaye to is candle ko "star" candle kaha jata hai.

    Pattern pe Trading ka Amal:

    Stalled bearish pattern agar high price area ya bullish trend k baad banta hai, to yahan se qeematon ka reversal hone k chances bohut ziada barh (increase) ho jate hen. Stalled bearish pattern me 3rd candle k baad sell ki entry karni chaheye. Trend confirmation k leye 4rth candle ka intezar karna chaheye, agar wo bearish banne k baad 2nd aur 3rd candle k lower close hoti hai, to is se trend reversal ka amal mukamal hota hai. Stop loss ko white candle k sab se highest position pe put karen.
    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha

اب آن لائن

Working...
X