Forex main "Active aur Passive trading techniques" ki information..
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex main "Active aur Passive trading techniques" ki information..
    Dear friends, forex main hum normaly do tarikon sa trading kartay hain, jin main sa aik aik active trading hoti hay aur dusri passive trading, active trade main hamain khud involve rehna perta hai jab kay passive trade main hamara khud involve rehna zaruri nahi hota,

    Active trading technique:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220925_1113_48_7500.jpg
Views:	1
Size:	10.0 کلوبائٹ
ID:	12559991

    Active trading jis main hmain apni learning aur experience ko use kar kay market ki moment aur pair ki routine ko observe karna hota ha aur situation kay hisab sa trading decisions lainay partay hain, active trading main profit aur loss hmari strategy par depend karta ha agr hum proper tools aur indicators ka use kar k thek entry aur exit point choose karain gay to hmain zarur acha result milay ga, aisi trading ma hamari self involvement hoti ha, is kay liay ham khud market kay analysis kar kay trade open kartay hain aur profit ya loss main close kartay hain kay ham kisi bhi pair main market ka chart open kar kay trend ko find kartay hain aur same trend ki follow kartay huay trade open kar laitay hain to hamari trade profit main bhi ja sakti hai aur loss main bhi lekin aisi trading main hamain puri tarha say involve rehna parta hai

    Passive trading technique:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220925_1113_48_9921.jpg
Views:	1
Size:	39.7 کلوبائٹ
ID:	12559992

    trading ki dusri type passive trading hoti hay jis ko further do hison main takseem kia jata ha in main say aik to pending order ki surat main hoti hay aur dusri robot trading shamil hay, pending orders kay sath trading main hmari minimum involvement hoti ha lakin robot trading ma hmari involvement na honay kay barabar hoti ha is ma robot k zariay hmari trade open aur close hoti ha, is ma hmain anaylisis aur predictions nhi karni partin balkay robots khud hmari trades ko open aur adjust kartay hainn, hamari trade automatically open aur close hoti rehti hai jis main hamain profit bhi hota hai aur loss bhi hota rehta hai lekin aisi trading ko robot khud manage kerta hai

    Advantages and disadvantages:


    Active trade main traders market main direct involve rehtay hain jis ki waja sa wo trade kay timely decisions lay saktay hain, passive trading main busy life walay traders ko benifit hota hay aur yeh trade ki simple strategy rakhti hay is main traders ko bar bar market ko daikhna nhi parta, ye un kay apnay skills ko use nhi karnay daiti balkay dusray traders kay sath skills ko equal kar daiti hay

اب آن لائن

Working...
X