Importance of Price Chart in Forex
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of Price Chart in Forex
    Price Chart in Forex

    Jab ham kisi bhi pair main trade kerna chahty hain tou hamain uski movement ko read kerna hota hai ky same pair main market ki movement ki current position aur direction kia hai aur market ki previous movement kin ranges ky darmian ho chuki hai ky ham forex market main trade open ker ky continue kerty huey profit hasil ker sakain tou market ki current position aur previous movement ko read kerny ky liay hamain same pair main market price chart ki zarurat perti hai jis sy ham same pair ky related market movement ky analysis ker ky trade open aur continue kerty hain

    Types of Price Charts

    Market ky chart ki basic three types hain jin ko use kerty huey ham forex market ky analysis ker ky trade open aur continue kerty hain jin main line chart bar chart aur candlestick chart pattern shamil hain jin ko ham following para main detail main discuss kerain gy

    Line Chart In Forex

    Forex market main line chart basic aur simple price chart hai jis ko price representation ky liay use kia jata hai ky market jis direction main movement ker rehi hoti hai tou market main same direction main lines create ho rehi hoti hai line chart main price line price main hony wali changes ko show kerti hai ky agar price increase ho rehi hoti hai tou same price line ki direction upward hoti hai aur agar price decrease ho rehi hoti hai tou same price line ki direction downward hoti hai jabky line chart market ki sirf closing ko show ker rehi hoti hai jo trader ky liay less helpful hoti hai kyun ky traders ki requirement market ki high aur low ky sath sath opening aur closing position bhi hoti hai lehaza line chart ko kam hi traders use kerty hain

    Click image for larger version

Name:	linechart.jpg
Views:	5
Size:	65.6 کلوبائٹ
ID:	12559860

    Bar Chart in Forex

    Bar chart forex market main line chart ky muqably main kuch additional information deta hai ky jis terha line chart market ki sirf closing position ko hi show ker raha hota hai lekin bar chart market ki high aur low ky sath sath market ki opening aur closing ko show kerta hai tou traders line chart ki bajaey forex market main trade kerny ky liay bar chart ko priority dety hain kyun ky bar chart main market ki movement bars ki surat main ho rehi hoti hai jo opening ko bhi show kerti hain aur closing ko bhi jatky same movement per jo hamain additonal information required hoti hai usky liay bar chart bhi fully supported nehi hai jesy cadle ki types bar chart main same hi hoti hai just short and long candle ky elawa hamain koi addintiona information nehi milti

    Click image for larger version

Name:	barchart.jpg
Views:	5
Size:	64.5 کلوبائٹ
ID:	12559861

    Candlestick Chart in Forex

    Forex market main trading aur analysis ky liay mostly use hony wala chart pattern candlestick chart pattern hi hai jis ko maximum forex traders use kerty hain jo advance chart pattern hai aur jis main traders ky bahot zyada information aur indications hoti hai ky agar market ky analysis kerny hon tab bhi aur trade open aur continue kerni ho tab bhi without any additional technical indicator just candles ky size candle position aur candle opening aur closing ky sath candle direction sy market ki movement ko prediction kerty huey trader forex market main trade kerty huey achi earing ker lety hain jo normal line chart ya bar chart main possible hi nehi kyun ky candlestick chart pattern main create hony wali her candle koi na koi information aur indication provide ker rehi hoti hai jis sy market ki achi prediction ki ja sakti hai aur successful trading ki ja sakti hai

    Click image for larger version

Name:	candlestickchart.jpg
Views:	8
Size:	176.3 کلوبائٹ
ID:	12559862

اب آن لائن

Working...
X