An overview: Reversal Candlestick Patterns.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    An overview: Reversal Candlestick Patterns.
    Dear friends!
    Forex market chart pay trading kartay huway traders reversal candlestick ka primarily used kartay hain, jis say price ka short-term movements k baad reverse hona zahir hota hai. Reversal candlestick chart pattern say price apnay current trends ko chorr kar price k reverse honay ko zahir karnay wala signal provides kartay hai.
    Reversal candlestick patterns ko finds karnay k liye traders bahut saray knowledge, experience aur technical analysis ka use kartay huway isko easily bana kar market chart pay prices ko samjhnay main success hotay hain.
    Aj k is topic ki help say ham yeh jan saktay hain kaisay, kab aur kis hisaab say tarders in pattern ko find kartay huway market chart say achi earning ko possible bana saktay hain.
    Yahan pay 2 chart reversal pattern ko find aur aur follow kiya ja sakta hai, jinko ham bullish reversal aur bearish reversal k name say recognize kar saktay hain jo k sab kuch darj zail main hain.


    Bullish Reversal Pattern:


    Friends!
    Makret chart pay trading kartay huway jab aik price trend bearish movements kartay huway turn hota hai aur price reverse hona start karty hai, tab chart pay bullish reverse chart pattern appear hota hai jisk baad price ka trend change hona start hota hai aur us reversal chart pattern ko bullish reverse pattern kehtay hain.


    Bearish Candlestick Reversal:


    Friends!
    Forex market chart pay jab price trend aik complete direction k sath bullish movements k baad bearish reverse hona start karta hai to us price pattern ko traders bearish reversal chart pattern kehtay hain.


    Reversal Candlestick Patterns: A List:


    Har aik traders ko is baat ka knowledge honay bahut ziada zaruri hai k market chart pay jab prices reversal hoty hain to unko kaisay identified kiya jaye aur kaisay unko follow kartay huway price k directions ko samjha jaye, agar is baat ka knowledge hasil karna hai to traders k liye yeh zaruri hai k wo darj zail k reversal pattern ko care k sath read karain.


    The Hammer:


    Aj ki is post aur topic main sab say pehlay ham hammer reversal candlestick chart pattern pay discuss kartay hain, hammer aik bahut he easy reversal pattern ko identified karnay wala chart pattern hai, jab chart pay jab price aik pin wala candle show karty hai to us price candle ko hammer kehtay hain jiska signal price main reversal ko show karta hai aur jis say chart pattern reversal hona start hota hai.


    Click image for larger version

Name:	hammer1.png
Views:	1
Size:	289.8 کلوبائٹ
ID:	12559737


    Shooting Star:


    Shooting Star aik aisa candlestick chart pattern hai jisko follow kartay huway traders hammer ki tarha say trading kar saktay hain,Shooting Star candlestick pattern price ko bullish trend k baad reversal ka signal show kartay hain aur market chart pay prices ka trend reversal honay k liye ready hona start hota hai jiski base Shooting Star candlestick pattern say hoty hai.


    Click image for larger version

Name:	shooting start1.png
Views:	1
Size:	124.9 کلوبائٹ
ID:	12559738


    Bullish Engulfing Candlestick:

    Market chart pay trading kartay huway Bullish Engulfing Candlestick bhi aik same price reversal candlestick pattern hai, jisko follow kartay huway traders market chart say achi earning ko possible bana saktay hain aur sath sath prices k trend reversal say bhi experience hasil kar saktay hain. Bullish Engulfing Candlestick pattern ki aik screenshot pic neechay darj zail main past hai jisko follow kartay huway traders market chart pay isay find bhi kar saktay hain aur is candle k appear honay say market price bhi changsing start karty hai.


    Click image for larger version

Name:	bullish engulfing1.png
Views:	1
Size:	202.1 کلوبائٹ
ID:	12559739

    Shukrya.

اب آن لائن

Working...
X