Renko Bars Explained.
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Renko Bars Explained.
    Dear friends!
    Mairay knowledge aur experience k hisaab say traders ki yeh soch hai k wo forex market say permanentaly earning kar saktay hain, laikin yeh kehna bahut ziada asaan hai aur aisa hona bahut ziada mushkil balk na mumkin bhi hai, qk market main trading karnay k liye traders k pass jitna bhi knowledge hota hai wo kam is liye hota hai qk market har aik hour, minut aur seconds k hisaab say new movements start aur end kartay huway appear hoty rehty hai. Forex market main trading k liye ham jitni ziada practice kartay rahaingay ham utnay he kamyabi k nazdeek hotay jayengay. Aj main apk sath aik aisay chart ki explain karnay ja raha hoon jisko follow kartay huway ham market ki movements ko samjhnay main asaani feel kar skatay hain aur achi earning ko bhi possible bana saktay hain, jo k sab kuch darj zail main hai.


    What is Renko chart:


    Renko word japany language say hasil kiya gaya hai jiska mean brick hota hai, jo prices ki movements ko trends k hisaab say introduce karwata hai. Renko chart ki help say prices ko count karna easy hota hai, jaisay chart pay candles ki movements aur unki reaing ko easily samjh jata hai.
    Renko chart ko follow kartay huway bahut saray traders day trading say faida hasil kartay hain jiski help say market trends aur price ko samjhna asaan hota hai.


    Click image for larger version

Name:	renko1.png
Views:	1
Size:	40.5 کلوبائٹ
ID:	12557711


    Renko Bars Explained:


    Renko bars chart bricks ki tarha ka chart hota hai jo price ko swing trading main movements kartay huway dikhai daita hai, yeh chart price ko samjhnay k liye bahut ziada asaan hota hai jis say market movements ko samjhnay main bhi asaani hoty hai aur sath sath trading karna bhi easy hota jata hai.
    S&P 500 10-point ko use karnay k liye Renko chart ki aik example main apk samnay rakhta hoon, Agar S&P 500 10-point 1840 pay hai sath wo 9 point ooper hota hai to uski value 1849 ho jaty hai to ab isi positions k sath Renko down hona start ho sakta hai. Agar S&P 500 10-point Renko ko 1850 tak increased karta hai to prices mazeed down hona start ho skaty hai.
    Agar isi formula ko use kartay huway Renko chart k sath trading ki jaye to market say acha profit bhi hasil kiya ja sakta hai aur sath sath iski movements ko samjhnay ka knowledge bhi increased hota jayega.


    Click image for larger version

Name:	renko2.png
Views:	1
Size:	38.4 کلوبائٹ
ID:	12557716


    Shukrya.

اب آن لائن

Working...
X