What is descent block Candlestick pattern ?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is descent block Candlestick pattern ?
    Introduction

    DESCENT BLOCK .

    USER

    Descent block candlestick pattern price chart k bottom par banne k bad market inverse movement shoro karta hai, aur ye pattern teen bearish candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jab k middle wali candlestick pehli candle se size main choti lekin long lower shadow wali hoti hai. Pattern ki last candle aik hanging man candle se melti julti candle hoti hai, jiss k lower side par lamba saya hota hai. Price chart par aapko hirani hogi k jab aap bullish stalled pattern ko bhi same issi pattern se melta julta dekhengay, lekin bullish stalled pattern ki last candle aik small bearish marubozu candle hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1).jpeg
Views:	1
Size:	10.0 کلوبائٹ
ID:	12557664

    CANDLE FORMATION .


    USER


    Descent block candlestick pattern prices k bottom main assets k support level par banta hai, jahan se prices ne bullish trend reversal main tabdeel hona hota hai. Ye pattern teen lagatar bearish candles ka aik majmoa hai, jiss main teeno candles lower low par close hoti hai, jin ki tafseel darjazel ha

    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	1
Size:	5.6 کلوبائٹ
ID:	12557665

    IDENTIFICATION .

    USER


    1) Descent block candlestick patteren ki pehli candle aik bearish candles hoti hai, jo k real body main strong candle banti hai, aur ye candle prices k downtrend ki tasalsul ki alamat hoti hai. Pattern ki pehli candle aik bagher upper aur lower shadow ki hoti hai, jiss ka open price close price se ooper hota hai.

    2) Descent block candlestick patteren ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body ya uss k close price k baad open hoti hai, jo k lower par close hoti hai. Iss ka candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, jab k lower side par aik lamba shadow hota hai.

    3) Descent block candlestick patteren ki teesri candle bhi same pechli do candles ki tarah aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body ya uss k close price par open ho kar lower par close hoti hai. Ye candle ziada tar pechli dono candles se size main kam hoti hai, jab k lower side par aik lamba shadow hota hai, jo k umoman real body se size main ziada hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images.jpeg
Views:	1
Size:	7.6 کلوبائٹ
ID:	12557666

    Descent block candlestick pattern prices k bottom par ya bearish trend main uss waqat banta jab sellers ki market main ahesta ahesta dilchaspi khatam hoti rehti hai. Ye pattern teen bearish candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle aik strong real body wali hoti hai, jiss ka upper aur lower side par shadows ya wick bohut small hote hen. Pattern ki dosri candle bhi bearish candle hoti hai, jiss ki real body small hoti hai, jab k shadow lamba hota hai. Pattern li last candle aik hammer candle hoti hai. Descent block candlestick pattern prices k top main banne wale advance block pattern ka opposite hota hai.

    Click image for larger version

Name:	download (1).png
Views:	2
Size:	7.1 کلوبائٹ
ID:	12557667

اب آن لائن

Working...
X