Capital or Equity kia hai .??
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Capital or Equity kia hai .??
    Assalam-o-alaikum Friends umeed hai ap sab khariyat sy hungy or enjoy kr rhy hungy apni trading life ko Dosto ajjhum Capital or equity k bary mai baat krty hn
    Capital
    Account capital investors key total account balance ko kehty hey, investors jetna be deposit karty hey ya trading me jetna be profit/loss karty hey ye traders ka capital hota hay. capital apka wo balance hota hai jo ap bonus hasil krty ho ya ap khud sy deposit krty ho jub ky equity apki trade lgany ki option remainin money hoti hai agr ap koi trade execution krty ho to remainin opportunity for trade ko equity kaha jata hai. Capital ka matlab hota hay keh jab trader ya owner forex main trading kay liye koi amount invest kary, ye bonus bhi ho sakta hay, ya real investment bhi, ya bonus aur real investment donon ko mila kar bhi capital ban sakta hay jo keh aik he cheez hay. Capital woh amount hoti hay jo trader trading plan kay mutabiq starting main invest karta hay, aur isko trading kay maqsad kay liye utilize karta rehta hay. Trader ki yehi priority hoti hay uska capital yani asal sarmaya kisi tarah bhi kam na ho, yani isko is main loss na ho.

    Equity
    Traders open karny key bad equity same nahi hoti aur profit/loss ki waja se es me changing ati rehti hay es ki waja ye hoti hay key hamy agar profit ho raha hota hay to hamari equity par es ka effect hota hay jab tak trades ko ham close nahi karty es profit/loss ka effect hamary account capital par nahi hota. Equity say murad trader kay pas wo availabke amount hay jo wo mazeed trading kay liye use kar sakta hay, equity capital kay baraber, capital say kam ya ziada bhi ho sakti hay. Ager to capital use na hua ho, to yehi owner ki equity kehlaye gi, ager trading main loss ho jaye to caoital main say loss ko nikal kar remaining amount ko equity kaha jaye ga, isi tarah ager trading main profit ho aur trader ismain say kuvh amiunt capital kay sath shamil kar lay to capital plus ye reserve amount equity kehlaye gi. Yani jo reserve amount hoti hay woh bhi capital kay sath sum up kar kay equity ko strong karny kay liye use ki jati hay.

اب آن لائن

Working...
X